Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai, Urdu Ghazal By Salman Ghazi

Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salman Ghazi. Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں ڈھونڈھتا ہوں خود اپنی منزل مرا کوئی رہنما نہیں ہے

سلمان غازی

میں ڈھونڈھتا ہوں خود اپنی منزل مرا کوئی رہنما نہیں ہے

بتا رہے ہیں وہ راہ مجھ کو جنہیں خود اپنا پتا نہیں ہے

تمہارے دامن میں جذب ہوتے ہمارے آنسو تو کیا برا تھا

چلو اسے تم بھی بھول جاؤ یہ آرزو تھی گلہ نہیں ہے

اگرچہ میں نے مٹا دیا ہے وجود اپنا وفا میں تیری

یہ وصل ہے تیری مہربانی مری وفا کا صلہ نہیں ہے

کبھی بہاروں کا غلغلہ ہے کبھی ہے خوف خزاں چمن میں

وصال و ہجراں کی پوچھتے ہو کوئی نیا سلسلہ نہیں ہے

کشادہ دستی ہے اپنی فطرت جھجک تمہیں ہے بس اک ذرا سی

وہ ہاتھ جو تم بڑھا رہے ہو قریب ہے بس ملا نہیں ہے

محبتوں میں ہے غرض کیسی جو دل ہی بدلے میں چاہتے ہیں

دلوں کے سودے جو کر رہے ہیں وہ جان لیں یہ وفا نہیں ہے

چھپا جو رکھا تھا راز الفت زباں پہ انکار تھا ضروری

صداقتوں کے نہ امتحاں لو یہ جھوٹ اب تک کھلا نہیں ہے

سلمان غازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai

Salman Ghazi

main DhunDhta hun KHud apni manzil mera koi rahnuma nahin hai
bata rahe hain wo rah mujh ko jinhen KHud apna pata nahin hai

tumhaare daman mein jazb hote hamare aansu to kya bura tha
chalo use tum bhi bhul jao ye aarzu thi gila nahin hai

agarche main ne miTa diya hai wajud apna wafa mein teri
ye wasl hai teri mehrbani meri wafa ka sila nahin hai

kabhi bahaaron ka ghalghala hai kabhi hai KHauf-e-KHizan chaman mein
visal-o-hijran ki puchhte ho koi naya silsila nahin hai

kushada-dasti hai apni fitrat jhijak tumhein hai bas ek zara si
wo hath jo tum baDha rahe ho qarib hai bas mila nahin hai

mohabbaton mein hai gharz kaisi jo dil hi badle mein chahte hain
dilon ke saude jo kar rahe hain wo jaan len ye wafa nahin hai

chhupa jo rakkha tha raaz-e-ulfat zaban pe inkar tha zaruri
sadaqaton ke na imtihan lo ye jhuT ab tak khula nahin hai

(300) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai written by Salman Ghazi at UrduPoint. Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai is one of the masterpieces written by Salman Ghazi. You can also find the complete poetry collection of Salman Ghazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salman Ghazi' above.

Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main DhunDhta Hun KHud Apni Manzil Mera Koi Rahnuma Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.