Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman, Urdu Ghazal By Saqib Amrohvi

Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Amrohvi. Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جانتا ہے تو ہماری رفعتوں کو آسماں

ثاقب امروہوی

جانتا ہے تو ہماری رفعتوں کو آسماں

ہے ہماری خاک پا سے یہ چمکتی کہکشاں

کیا ڈرائیں گی مجھے یہ چند کالی بدلیاں

بجلیوں کے سائے میں پل کر ہوا ہوں میں جواں

رشک سے تم اس طرح دیکھو نہ میرا آشیاں

ٹوٹ کر تم پر بھی گر سکتی ہیں یارو بجلیاں

تم جنہیں کانٹے کہا کرتے ہو اہل گلستاں

عصمت گل کے یہی ہوتی ہیں اکثر پاسباں

تیری محفل میں خموشی بھی ہے میرا امتحاں

میں زباں رکھتے ہوئے بھی ہو گیا ہوں بے زباں

بات بھی سننا انہیں میری گوارا اب نہیں

جن کے افسانے کو دی ہیں خون دل سے سرخیاں

اس لئے پھیری ہے شاید میری جانب سے نظر

دیکھ پاؤ گے نہ تم میری نگاہ خوں چکاں

یہ خلوص و مہر و الفت تو حسیں الفاظ ہیں

جن کے معنی میں چھپی ہیں زندگی کی تلخیاں

ہم نہ ہوں گے پھر بھی یہ دنیا اسے دہرائے گی

ہم نے لکھ دی ہے غزل میں اپنے دل کی داستاں

بجھ چکا تھا تیری فرقت میں دل ثاقبؔ مگر

تیری یادوں نے کیا ہر گوشۂ دل ضو فشاں

ثاقب امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman

Saqib Amrohvi

jaanta hai tu hamari rifaton ko aasman
hai hamari KHak-e-pa se ye chamakti kahkashan

kya Daraengi mujhe ye chand kali badliyan
bijliyon ke sae mein pal kar hua hun main jawan

rashk se tum is tarah dekho na mera aashiyan
TuT kar tum par bhi gir sakti hain yaro bijliyan

tum jinhen kanTe kaha karte ho ahl-e-gulsitan
ismat-e-gul ke yahi hoti hain aksar pasban

teri mahfil mein KHamoshi bhi hai mera imtihan
main zaban rakhte hue bhi ho gaya hun be-zaban

baat bhi sunna unhen meri gawara ab nahin
jin ke afsane ko di hain KHun-e-dil se surKHiyan

is liye pheri hai shayad meri jaanib se nazar
dekh paoge na tum meri nigah-e-KHun-chakan

ye KHulus-o-mehr-o-ulfat to hasin alfaz hain
jin ke mani mein chhupi hain zindagi ki talKHiyan

hum na honge phir bhi ye duniya ise dohraegi
hum ne likh di hai ghazal mein apne dil ki dastan

bujh chuka tha teri furqat mein dil-e-'saqib' magar
teri yaadon ne kiya har gosha-e-dil zau-fishan

(310) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman written by Saqib Amrohvi at UrduPoint. Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman is one of the masterpieces written by Saqib Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Amrohvi' above.

Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jaanta Hai Tu Hamari Rifaton Ko Aasman, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.