Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain, Urdu Ghazal By Saqib Lakhnavi

Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Lakhnavi. Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمن کا ذکر کیا اب تو خدا کو یاد کرتے ہیں

ثاقب لکھنوی

چمن کا ذکر کیا اب تو خدا کو یاد کرتے ہیں

خوشی صیاد کو ہوتی ہے جب فریاد کرتے ہیں

نہ شرماؤ اگر ہم شکوۂ بیداد کرتے ہیں

محبت ہے تمہاری عادتوں کو یاد کرتے ہیں

ہماری داستان غم رلاتی ہے زمانے کو

وہ ہم ہیں جو زبان غیر سے فریاد کرتے ہیں

خدا آباد رکھے ہم صفیران گلستاں کو

جو کوئی پھول کھلتا ہے تو ہم کو یاد کرتے ہیں

اسیران قفس خود بھی بہت کچھ کہہ گزرتے ہیں

چمن کے تذکرے آپس میں جب صیاد کرتے ہیں

نہیں معلوم میں کس حال میں ہوں باغ عالم میں

قفس والے بھی مجھ کو دیکھ کر فریاد کرتے ہیں

خود ان کا حسن میری داد خواہی ان سے کرتا ہے

وہ آئینہ لئے ہیں اور مجھ کو یاد کرتے ہیں

عدو صیاد گلچیں کیوں ہو میرے نشیمن کے

یہ تنکے بھی ہیں اس قابل جنہیں برباد کرتے ہیں

لحد پر چلنے والے تھم کہ ہم کچھ کہہ نہیں سکتے

زمیں رکھتی ہے منہ پر ہاتھ جب فریاد کرتے ہیں

وہ خوباں جہاں اشکوں سے جن کا حسن سینچا تھا

وہی بعد فنا مٹی مری برباد کرتے ہیں

سر گور غریباں کچھ نہ پوچھو حال دل ثاقبؔ

زمانہ جن کو بھولا ہے ہم ان کو یاد کرتے ہیں

ثاقب لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain

Saqib Lakhnavi

chaman ka zikr kya ab to KHuda ko yaad karte hain
KHushi sayyaad ko hoti hai jab fariyaad karte hain

na sharmao agar hum shikwa-e-bedad karte hain
mohabbat hai tumhaari aadaton ko yaad karte hain

hamari dastan-e-gham rulati hai zamane ko
wo hum hain jo zaban ghair se fariyaad karte hain

KHuda aabaad rakhe ham-safiran-e-gulistan ko
jo koi phul khulta hai to hum ko yaad karte hain

asiran-e-qafas KHud bhi bahut kuchh kah guzarte hain
chaman ke tazkire aapas mein jab sayyaad karte hain

nahin malum main kis haal mein hun bagh-e-alam mein
qafas wale bhi mujh ko dekh kar fariyaad karte hain

KHud un ka husn meri dad-KHwahi un se karta hai
wo aaina liye hain aur mujh ko yaad karte hain

adu sayyaad gulchin kyun ho mere nasheman ke
ye tinke bhi hain is qabil jinhen barbaad karte hain

lahad par chalne wale tham ki hum kuchh kah nahin sakte
zamin rakhti hai munh par hath jab fariyaad karte hain

wo KHuban jahan ashkon se jin ka husn sincha tha
wahi baad-e-fana miTTi meri barbaad karte hain

sar-e-gor-e-ghariban kuchh na puchho haal-e-dil 'saqib'
zamana jin ko bhula hai hum un ko yaad karte hain

(373) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain written by Saqib Lakhnavi at UrduPoint. Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain is one of the masterpieces written by Saqib Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Lakhnavi' above.

Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chaman Ka Zikr Kya Ab To KHuda Ko Yaad Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.