Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain, Urdu Ghazal By Sardar Genda Singh Mashriqi

Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Genda Singh Mashriqi. Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیری محفل میں جتنے اے ستم گر جانے والے ہیں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

تیری محفل میں جتنے اے ستم گر جانے والے ہیں

ہمیں ہیں ایک ان میں جو ترا غم کھانے والے ہیں

عدم کے جانے والو دوڑتے ہو کس لیے ٹھہرو

ذرا مل کے چلو ہم بھی وہیں کے جانے والے ہیں

صفائی اب ہماری اور تمہاری ہو تو کیوں کر ہو

وہی دشمن ہیں اپنے جو تمہیں سمجھانے والے ہیں

کسے ہم دوست سمجھیں اس جہاں میں اور کسے دشمن

کہ جو سمجھانے والے ہیں وہی بہکانے والے ہیں

مرض بڑھ جائے جس سے اے طبیب اب وہ دوا دینا

سنا ہے آج وہ میری خبر کو آنے والے ہیں

نہ سنتے ہیں کسی کی اور منہ سے بات کرتے ہیں

خدا جانے مسافر یہ کہاں کے جانے والے ہیں

ترے بیمار کب کھائیں دوا پرہیز کیا جانیں

یہ ہیں خون جگر پیتے یہ غم کے کھانے والے ہیں

قیامت تک نہ وہ اے مشرقیؔ منزل پہ پہنچیں گے

خیالی گھوڑے جو میدان میں دوڑانے والے ہیں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

teri mahfil mein jitne ai sitam-gar jaane wale hain
hamin hain ek un mein jo tera gham khane wale hain

adam ke jaane walo dauDte ho kis liye Thahro
zara mil ke chalo hum bhi wahin ke jaane wale hain

safai ab hamari aur tumhaari ho to kyun kar ho
wahi dushman hain apne jo tumhein samjhane wale hain

kise hum dost samjhen is jahan mein aur kise dushman
ki jo samjhane wale hain wahi bahkane wale hain

maraz baDh jae jis se ai tabib ab wo dawa dena
suna hai aaj wo meri KHabar ko aane wale hain

na sunte hain kisi ki aur munh se baat karte hain
KHuda jaane musafir ye kahan ke jaane wale hain

tere bimar kab khaen dawa parhez kya jaanen
ye hain KHun-e-jigar pite ye gham ke khane wale hain

qayamat tak na wo ai 'mashriqi' manzil pe pahunchenge
KHayali ghoDe jo maidan mein dauDane wale hain

(375) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Sardar Genda Singh Mashriqi Poetry

You can read Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain written by Sardar Genda Singh Mashriqi at UrduPoint. Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain is one of the masterpieces written by Sardar Genda Singh Mashriqi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Genda Singh Mashriqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Genda Singh Mashriqi' above.

Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-gar Jaane Wale Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.