Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai, Urdu Ghazal By Seemab Akbarabadi

Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Seemab Akbarabadi. Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمک جگنو کی برق بے اماں معلوم ہوتی ہے

سیماب اکبرآبادی

چمک جگنو کی برق بے اماں معلوم ہوتی ہے

قفس میں رہ کے قدر آشیاں معلوم ہوتی ہے

کہانی میری روداد جہاں معلوم ہوتی ہے

جو سنتا ہے اسی کی داستاں معلوم ہوتی ہے

سحر تک سعیٔ نالہ رائیگاں معلوم ہوتی ہے

یہ دنیا تو بقدر یک فغاں معلوم ہوتی ہے

کسی کے دل میں گنجائش نہیں وہ بار ہستی ہوں

لحد کو بھی مری مٹی گراں معلوم ہوتی ہے

خزاں کے وقت بھی خاموش رہتی ہے فضا ساری

چمن کی پتی پتی راز داں معلوم ہوتی ہے

ہوائے شوق کی قوت وہاں لے آئی ہے مجھ کو

جہاں منزل بھی گرد کارواں معلوم ہوتی ہے

ترقی پر ہے روز افزوں خلش درد محبت کی

جہاں محسوس ہوتی تھی وہاں معلوم ہوتی ہے

قفس کی تیلیوں میں جانے کیا ترکیب رکھی ہے

کہ ہر بجلی قریب آشیاں معلوم ہوتی ہے

نہ کیوں سیمابؔ مجھ کو قدر ہو ویرانئ دل کی

یہ بنیاد نشاط دو جہاں معلوم ہوتی ہے

سیماب اکبرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai

Seemab Akbarabadi

chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai

kahani meri rudad-e-jahan malum hoti hai
jo sunta hai usi ki dastan malum hoti hai

sahar tak sai-e-nala raegan malum hoti hai
ye duniya to ba-qadr-e-yak-fughan malum hoti hai

kisi ke dil mein gunjaish nahin wo bar-e-hasti hon
lahad ko bhi meri miTTi giran malum hoti hai

KHizan ke waqt bhi KHamosh rahti hai faza sari
chaman ki patti patti raaz-dan malum hoti hai

hawa-e-shauq ki quwwat wahan le aai hai mujh ko
jahan manzil bhi gard-e-karwan malum hoti hai

taraqqi par hai roz-afzun KHalish dard-e-mohabbat ki
jahan mahsus hoti thi wahan malum hoti hai

qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai

na kyun 'simab' mujh ko qadr ho virani-e-dil ki
ye buniyaad-e-nashat-e-do-jahan malum hoti hai

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai written by Seemab Akbarabadi at UrduPoint. Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai is one of the masterpieces written by Seemab Akbarabadi. You can also find the complete poetry collection of Seemab Akbarabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Seemab Akbarabadi' above.

Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chamak Jugnu Ki Barq-e-be-aman Malum Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.