Itna Ehsan Aur Karta Kaun, Urdu Ghazal By Shabi Farooqui

Itna Ehsan Aur Karta Kaun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shabi Farooqui. Itna Ehsan Aur Karta Kaun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Itna Ehsan Aur Karta Kaun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اتنا احسان اور کرتا کون

شبی فاروقی

اتنا احسان اور کرتا کون

مجھے سے بڑھ کر مجھے سمجھتا کون

دین و دنیا سے ماورا تھا میں

میری باتوں پہ کان دھرتا کون

میں نہ ہوتا تو یوں لب دریا

آبرو تشنگی کی رکھتا کون

جو کسی نے لکھا نہیں وہ حرف

میں نہ لکھتا تو اور لکھتا کون

کھوٹ مجھ میں تو سب نے دیکھ لیا

اپنا سونا مگر پرکھتا کون

جس کی منزل ہو خواب در بستہ

اس مسافر کے ساتھ چلتا کون

آئنہ اپنے روبرو رکھ کر

میں نہ ہنستا تو مجھ پہ ہنستا کون

شبی فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Itna Ehsan Aur Karta Kaun

Shabi Farooqui

itna ehsan aur karta kaun
mujhe se baDh kar mujhe samajhta kaun

din-o-duniya se mawara tha main
meri baaton pe kan dharta kaun

main na hota to yun lab-e-dariya
aabru tishnagi ki rakhta kaun

jo kisi ne likha nahin wo harf
main na likhta to aur likhta kaun

khoT mujh mein to sab ne dekh liya
apna sona magar parakhta kaun

jis ki manzil ho KHwab-e-dar-basta
us musafir ke sath chalta kaun

aaina apne ru-ba-ru rakh kar
main na hansta to mujh pe hansta kaun

(365) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Itna Ehsan Aur Karta Kaun written by Shabi Farooqui at UrduPoint. Itna Ehsan Aur Karta Kaun is one of the masterpieces written by Shabi Farooqui. You can also find the complete poetry collection of Shabi Farooqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shabi Farooqui' above.

Itna Ehsan Aur Karta Kaun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Itna Ehsan Aur Karta Kaun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.