Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda, Urdu Ghazal By Shah Naseer

Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shah Naseer. Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کو کس صورت سے کیجے چشم دلبر سے جدا

شاہ نصیر

دل کو کس صورت سے کیجے چشم دلبر سے جدا

شیشۂ مے کو نہیں رکھتے ہیں ساغر سے جدا

میں تو ہوں اے طالع برگشتہ دلبر سے جدا

اور پتھر آسیا کا ہو نہ پتھر سے جدا

اس کے بحر حسن میں مت چھوڑ اے دل تار زلف

غرق ہو جاتی ہے کشتی ہو کے لنگر سے جدا

عشق میں شیریں کے تو نے جان شیریں دی ہے آہ

نقش تیرا کوہ کن ہو کیوں کہ پتھر سے جدا

چشم یہ تجھ سے ہے یارب تا نہ ہو لیل و نہار

چشم اس پردہ نشیں کے رخنۂ در سے جدا

کندہ اس میرے نگین دل پہ تیرا نام ہے

اس کو اپنے خاتم دل کے نہ کر گھر سے جدا

اس کو کہتے ہیں محبت شیشۂ ساعت کو دیکھ

ایک کے ہوتا نہیں ہے دوسرا بر سے جدا

وہ ادھر خنداں ہے میں گریاں ادھر حیرت ہے یہ

برق چمکے ابر گرجے اور مینہ برسے جدا

صورت بادام توام روز و شب ہوتا نہیں

چشم دلبر کا تصور چشم کے گھر سے جدا

سوزن بے رشتہ آتی ہے کسی کو کب نظر

تو نہ ہو اے آہ دل اس جسم لاغر سے جدا

پردۂ مینا سے ساقی دخت رز نکلے ہے کیوں

آفتاب خاوری ہوتا ہے خاور سے جدا

اس کی مژگاں سے چھڑاؤں دل کو کس صورت سے میں

پنجۂ شاہیں نہیں ہوتا کبوتر سے جدا

تاب اس چمپا کلی کی یوں ہے تکمے کے تلے

جوں کرن چمکے ہے ہو کر مہر انور سے جدا

اشک چشم تر کو رہنے دوں تہ مژگاں نہ کیوں

طفل کو کرتے نہیں دامان مادر سے جدا

اس زمیں میں لکھ غزل اک اور پر معنی نصیرؔ

رنگ یعنی ہو نہیں سکتا گل تر سے جدا

اس غزل کو سن کے خاقانیؔ کرے وجد اے نصیرؔ

انوریؔ بھی سر کو اپنے پٹکے پتھر سے جدا

شاہ نصیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda

Shah Naseer

dil ko kis surat se kije chashm-e-dilbar se juda
shisha-e-mai ko nahin rakhte hain saghar se juda

main to hun ai tala-e-bargashta dilbar se juda
aur patthar aasiya ka ho na patthar se juda

us ke bahr-e-husn mein mat chhoD ai dil tar-e-zulf
gharq ho jati hai kashti ho ke langar se juda

ishq mein shirin ke tu ne jaan-e-shirin di hai aah
naqsh tera kohkan ho kyun ki patthar se juda

chashm ye tujh se hai ya-rab ta na ho lail-o-nahaar
chashm us parda-nashin ke raKHna-e-dar se juda

kanda is mere nagin-e-dil pe tera nam hai
us ko apne KHatam-e-dil ke na kar ghar se juda

is ko kahte hain mohabbat shisha-e-saat ko dekh
ek ke hota nahin hai dusra bar se juda

wo udhar KHandan hai main giryan idhar hairat hai ye
barq chamke abr garje aur meinh barse juda

surat-e-baadam-e-taw-am roz-o-shab hota nahin
chashm-e-dilbar ka tasawwur chashm ke ghar se juda

sozan-e-be-rishta aati hai kasi ko kab nazar
to na ho ai aah-e-dil is jism-e-laghar se juda

parda-e-mina se saqi duKHt-e-raz nikle hai kyun
aaftab-e-KHawari hota hai KHawar se juda

us ki mizhgan se chhuDaun dil ko kis surat se main
panja-e-shahin nahin hota kabutar se juda

tab us champa-kali ki yun hai tikme ke tale
jun kiran chamke hai ho kar mahr-e-anwar se juda

ashk-e-chashm-e-tar ko rahne dun tah-e-mizhgan na kyun
tifl ko karte nahin daman-e-mader se juda

is zamin mein likh ghazal ek aur pur-mani 'nasir'
rang yani ho nahin sakta gul-e-tar se juda

is ghazal ko sun ke 'KHaqani' kare wajd ai 'nasir'
'anwari' bhi sar ko apne paTke patthar se juda

(394) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda written by Shah Naseer at UrduPoint. Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda is one of the masterpieces written by Shah Naseer. You can also find the complete poetry collection of Shah Naseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shah Naseer' above.

Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ko Kis Surat Se Kije Chashm-e-dilbar Se Juda, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.