Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai, Urdu Ghazal By Shaheen Bhatti

Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaheen Bhatti. Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے ناز اٹھانا بھی اک عبادت ہے

شاہین بھٹی

کسی کے ناز اٹھانا بھی اک عبادت ہے

کسی سے خود کو بچانا بھی اک عبادت ہے

نوائے شعر و ترنم سے نوع انساں کے

دلوں میں پیار جگانا بھی اک عبادت ہے

اگر ہو اذن تکلم تو عرض ہے ناصح

نظر سے جام پلانا بھی اک عبادت ہے

فریب حسن سے بچنا بتا رہا ہوں تجھے

کسی کو راہ دکھانا بھی اک عبادت ہے

جہاں ہو وصل کی امید بلے شاہ کی طرح

وہاں پہ ناچنا گانا بھی اک عبادت ہے

رہ وفا کے تقاضے پہ سوچنا کیسا

وہاں تو خود کو لٹانا بھی اک عبادت ہے

دلوں پہ غم کی گھٹائیں ٹھہر گئی ہوں جہاں

انہیں تو خود پہ ہنسانا بھی اک عبادت ہے

کہیں کسی کو ڈبونا بھی کار احسن ہے

کسی کو پار لگانا بھی اک عبادت ہے

جہاں پہ روٹھ کے جانے سے بات بنتی ہو

وہاں پہ روٹھ کے جانا بھی اک عبادت ہے

جہاں ٹھٹھر کے مرے جا رہی ہو روح بشر

وہاں پہ خود کو جلانا بھی اک عبادت ہے

کسے پڑی ہے مشقت وہاں کرے کہ جہاں

کسی سے مانگ کے کھانا بھی اک عبادت ہے

کسی کو نیند نہ آئے تو دلبری سے اسے

تھپک تھپک کے سلانا بھی اک عبادت ہے

دلوں کو توڑ کے ہنسنا جہاں چلن ہو وہاں

کسی کا دل نہ دکھانا بھی اک عبادت ہے

تمہارے در کی طرف لے چلے جو راہ مجھے

وہاں تو ٹھوکریں کھانا بھی اک عبادت ہے

ترا شکار ہے شاہیںؔ اگر سلیقے سے

کسی کو مار کے کھانا بھی اک عبادت ہے

شاہین بھٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai

Shaheen Bhatti

kisi ke naz uThana bhi ek ibaadat hai
kisi se KHud ko bachana bhi ek ibaadat hai

nawa-e-sher-o-tarannum se nau-e-insan ke
dilon mein pyar jagana bhi ek ibaadat hai

agar ho izn-e-takallum to arz hai naseh
nazar se jam pilana bhi ek ibaadat hai

fareb-e-husn se bachna bata raha hun tujhe
kisi ko rah dikhana bhi ek ibaadat hai

jahan ho wasl ki ummid bulle-shah ki tarah
wahan pe nachna gana bhi ek ibaadat hai

rah-e-wafa ke taqaze pe sochna kaisa
wahan to KHud ko luTana bhi ek ibaadat hai

dilon pe gham ki ghaTaen Thahar gai hon jahan
unhen to KHud pe hansana bhi ek ibaadat hai

kahin kisi ko Dubona bhi kar-e-ahsan hai
kisi ko par lagana bhi ek ibaadat hai

jahan pe ruTh ke jaane se baat banti ho
wahan pe ruTh ke jaana bhi ek ibaadat hai

jahan ThiThur ke mare ja rahi ho ruh-e-bashar
wahan pe KHud ko jalana bhi ek ibaadat hai

kise paDi hai mashaqqat wahan kare ki jahan
kisi se mang ke khana bhi ek ibaadat hai

kisi ko nind na aae to dilbari se use
thapak thapak ke sulana bhi ek ibaadat hai

dilon ko toD ke hansna jahan chalan ho wahan
kisi ka dil na dukhana bhi ek ibaadat hai

tumhaare dar ki taraf le chale jo rah mujhe
wahan to Thokaren khana bhi ek ibaadat hai

tera shikar hai 'shahin' agar saliqe se
kisi ko mar ke khana bhi ek ibaadat hai

(472) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai written by Shaheen Bhatti at UrduPoint. Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai is one of the masterpieces written by Shaheen Bhatti. You can also find the complete poetry collection of Shaheen Bhatti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaheen Bhatti' above.

Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Naz UThana Bhi Ek Ibaadat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.