Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega, Urdu Ghazal By Shaida Sadaf

Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaida Sadaf. Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے یہ ابتدا غم عشق کی ابھی زہر غم پیا جائے گا

شاہدہ صدف

ہے یہ ابتدا غم عشق کی ابھی زہر غم پیا جائے گا

کبھی چاک ہوگا یہ پیرہن کبھی پیرہن سیا جائے گا

یہ عجیب عہد طلسم ہے یہاں زیست موت کی قسم ہے

یہاں تیری بات سے منحرف تجھے برملا کیا جائے گا

پکی فصل کٹنے سے پیشتر نئے سر اگانا نہ بھولنا

ہے قفس گروں سے مقابلہ اسی طور ہی جیا جائے گا

در دل پہ خوشیوں کی دستکیں جو سنیں تو درد سسک اٹھا

میں جنم جنم سے یہاں ہوں اب مجھے در بدر کیا جائے گا

یہاں سارے رستے پٹے ہیں لاشوں سے ان کے بیچ سنبھل کے چل

تو سفیر امن ہے لوٹ جا تجھے راستہ دیا جائے گا

کوئی سنگ ہے کہ جدھر سے آئے اسی کی سمت اچھال دوں

یہ محبتوں کا جواب ہے ذرا سوچ کر دیا جائے گا

میرے لوگ کتنے ہیں باخبر مجھے اس سے پہلے خبر نہ تھی

کسی اور شخص کا تذکرہ مرے نام سے کیا جائے گا

یہاں ان پہ ہوگی گرفت جن پہ ہو دوستوں کا گماں صدفؔ

وہ جو دشمنوں کی صفوں میں ہے اسے ساتھ لے لیا جائے گا

شاہدہ صدف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega

Shaida Sadaf

hai ye ibtida gham-e-ishq ki abhi zahr-e-gham piya jaega
kabhi chaak hoga ye pairahan kabhi pairahan siya jaega

ye ajib ahd-e-tilism hai yahan zist maut ki qism hai
yahan teri baat se munharif tujhe barmala kiya jaega

paki fasl kaTne se peshtar nae sar ugana na bhulna
hai qafas-garon se muqabla isi taur hi jiya jaega

dar-e-dil pe KHushiyon ki dastaken jo sunin to dard sisak uTha
main janam janam se yahan hun ab mujhe dar-ba-dar kiya jaega

yahan sare raste paTe hain lashon se in ke bich sanbhal ke chal
tu safir-e-amn hai lauT ja tujhe rasta diya jaega

koi sang hai ki jidhar se aae usi ki samt uchhaal dun
ye mohabbaton ka jawab hai zara soch kar diya jaega

mere log kitne hain ba-KHabar mujhe is se pahle KHabar na thi
kisi aur shaKHs ka tazkira mere nam se kiya jaega

yahan un pe hogi giraft jin pe ho doston ka guman 'sadaf'
wo jo dushmanon ki safon mein hai use sath le liya jaega

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega written by Shaida Sadaf at UrduPoint. Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega is one of the masterpieces written by Shaida Sadaf. You can also find the complete poetry collection of Shaida Sadaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaida Sadaf' above.

Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ye Ibtida Gham-e-ishq Ki Abhi Zahr-e-gham Piya Jaega, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.