Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich, Urdu Ghazal By Shaikh Zahuruddin Hatim

Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaikh Zahuruddin Hatim. Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشق نے چٹکی سی لی پھر آ کے میری جاں کے بیچ

شیخ ظہور الدین حاتم

عشق نے چٹکی سی لی پھر آ کے میری جاں کے بیچ

آگ سی کچھ لگ گئی ہے سینۂ بریاں کے بیچ

اہل معنی جز نہ بوجھے گا کوئی اس رمز کو

ہم نے پایا ہے خدا کو صورت انساں کے بیچ

اس سبب میں جنگ شانے سے کروں ہوں بار بار

دل ہوا ہے گم مرا اس کاکل پیچاں کے بیچ

زلف و چشم و خال و خط چاروں ہیں دشمن دین کے

حق رکھے ایماں سلامت ایسے کفرستاں کے بیچ

نقد دل کھویا ہے ہم نے جان کر اس راہ میں

فی الحقیقت عاشقوں کو سود ہے نقصاں کے بیچ

گر عدو میری بدی کرتا ہے خاص و عام میں

میں اسے رسوا کروں گا باندھ کر دیواں کے بیچ

رات دن جاری ہے عالم میں مرا فیض سخن

گو کہ ہوں محتاج پر حاتمؔ ہوں ہندوستاں کے بیچ

شیخ ظہور الدین حاتم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich

Shaikh Zahuruddin Hatim

ishq ne chuTki si li phir aa ke meri jaan ke bich
aag si kuchh lag gai hai sina-e-bariyan ke bich

ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko
hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich

is sabab main jang shane se karun hun bar bar
dil hua hai gum mera us kakul-e-pechan ke bich

zulf o chashm o KHal o KHat chaaron hain dushman din ke
haq rakkhe iman salamat aise kufristan ke bich

naqd-e-dil khoya hai hum ne jaan kar is rah mein
fil-haqiqat aashiqon ko sud hai nuqsan ke bich

gar adu meri badi karta hai KHas o aam mein
main use ruswa karunga bandh kar diwan ke bich

raat din jari hai aalam mein mera faiz-e-suKHan
go ki hun muhtaj par 'hatim' hun hindostan ke bich

(340) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich written by Shaikh Zahuruddin Hatim at UrduPoint. Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich is one of the masterpieces written by Shaikh Zahuruddin Hatim. You can also find the complete poetry collection of Shaikh Zahuruddin Hatim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaikh Zahuruddin Hatim' above.

Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishq Ne ChuTki Si Li Phir Aa Ke Meri Jaan Ke Bich, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.