Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad, Urdu Ghazal By Shaikh Zahuruddin Hatim

Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaikh Zahuruddin Hatim. Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی دیتا نہیں ہے داد بے داد

شیخ ظہور الدین حاتم

کوئی دیتا نہیں ہے داد بے داد

کوئی سنتا نہیں فریاد فریاد

کہیں ہیں کیا بلا دام بلا ہے

تیری زلفوں کو اے صیاد صیاد

نہ رکھ امید آسائش جہاں میں

کہ ہے دنیا کی بے بنیاد بنیاد

تجھے معشوقیت کے فن میں محبوب

کہیں ہیں عشق کے استاد استاد

گئی غفلت میں ساری عمر حاتمؔ

کہ جیسی خاک رہ برباد برباد

شیخ ظہور الدین حاتم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad

Shaikh Zahuruddin Hatim

koi deta nahin hai dad be-dad
koi sunta nahin fariyaad fariyaad

kahen hain kya bala dam-e-bala hai
teri zulfon ko ai sayyaad sayyaad

na rakh ummid-e-asaish jahan mein
ki hai duniya ki be-buniyaad buniyaad

tujhe mashuqiyat ke fan mein mahbub
kahen hain ishq ke ustad ustad

gai ghaflat mein sari umr 'hatim'
ki jaisi KHak-e-rah barbaad barbaad

(310) ووٹ وصول ہوئے

You can read Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad written by Shaikh Zahuruddin Hatim at UrduPoint. Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad is one of the masterpieces written by Shaikh Zahuruddin Hatim. You can also find the complete poetry collection of Shaikh Zahuruddin Hatim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaikh Zahuruddin Hatim' above.

Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Deta Nahin Hai Dad Be-dad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.