Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi, Urdu Ghazal By Shauq Asar Rampuri

Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Asar Rampuri. Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے پیکر روپوش پر نظر ہے ابھی

شوق اثر رامپوری

کسی کے پیکر روپوش پر نظر ہے ابھی

تو دور مجھ سے در اندازیٔ سحر ہے ابھی

یہ جان کر بھی کہ مجھ پر نظر نظر ہے ابھی

مرا شعور برائی سے بے خبر ہے ابھی

لگے ہیں بغض کے شیشے جہاں جبینوں میں

وہاں اداس محبت کا سنگ در ہے ابھی

اسی کو لوگ سمیٹیں گے داستانوں میں

مرے لبوں پہ جو روداد مختصر ہے ابھی

کسی کا کلک تنفر چرا نہ لے اس کو

جو حسن میری نگارش میں جلوہ گر ہے ابھی

خدا بچائے ہر ایسی کتاب کو جس میں

ہے ٹیپو آج بھی ٹیپو ظفر ظفر ہے ابھی

یوں ہی رہے گا رہے گا رہے گا تا بہ حیات

ادب پہ شوقؔ کے جو سایۂ اثرؔ ہے ابھی

شوق اثر رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi

Shauq Asar Rampuri

kisi ke paikar-e-ru-posh par nazar hai abhi
to dur mujh se dar-andazi-e-sahar hai abhi

ye jaan kar bhi ki mujh par nazar nazar hai abhi
mera shuur burai se be-KHabar hai abhi

lage hain bughz ke shishe jahan jabinon mein
wahan udas mohabbat ka sang-e-dar hai abhi

isi ko log sameTenge dastanon mein
mere labon pe jo rudad-e-muKHtasar hai abhi

kisi ka kilk-e-tanaffur chara na le us ko
jo husn meri nigarish mein jalwa-gar hai abhi

KHuda bachae har aisi kitab ko jis mein
hai Tipu aaj bhi Tipu zafar zafar hai abhi

yunhi rahega rahega rahega ta-ba-hayat
adab pe 'shauq' ke jo saya-e-‘asar’ hai abhi

(333) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi written by Shauq Asar Rampuri at UrduPoint. Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi is one of the masterpieces written by Shauq Asar Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Shauq Asar Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Asar Rampuri' above.

Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Paikar-e-ru-posh Par Nazar Hai Abhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.