Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech, Urdu Ghazal By Shyam Sunder Lal Barq

Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shyam Sunder Lal Barq. Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ناوک زنی نگاہ کی اے جان جاں ہے ہیچ

شیام سندر لال برق

ناوک زنی نگاہ کی اے جان جاں ہے ہیچ

جب تیر ہی نہ پار ہوا تو کماں ہے ہیچ

دیر و حرم بھی ہیچ ہیں اور ہیچ باغ و راغ

کوئی جگہ ہو بے ترے اے لا مکاں ہے ہیچ

فردوس ہم کو سایۂ دامان یار ہے

دنیا کی اصل کچھ نہیں باغ جناں ہے ہیچ

کچھ موت کا نہ غم ہے نہ کچھ راحت حیات

کوچے میں اس کے مجھ کو بہار و خزاں ہے ہیچ

چارہ گری کرے گا جو وہ ہے مزاج داں

درد دروں کا روبرو اس کے بیاں ہے ہیچ

ہو جا کے کوئے یار میں اے مرغ جاں مقیم

باغ و بہار ہیچ ہے اور آشیاں ہے ہیچ

قاتل کے پاس جاؤں گا میں خود ہی سر بکف

مقتل میں اس کا آنا پئے امتحاں ہے ہیچ

کیا تکیہ اس پہ کیجیے عالم ہے بے ثبات

ہستی عبث حیات عبث جسم و جاں ہے ہیچ

توحید عشق میں مجھے دونوں ہیں ایک سے

مرگ و حیات ہیچ ہے سود و زیاں ہے ہیچ

جو اس کی خوبیوں کا ثنا خواں نہ ہو کبھی

وہ ہیچ اور اس کے دہن میں زباں ہے ہیچ

ہوں محو دید آنکھ اٹھاؤں میں کس طرف

دیکھوں میں کس کو جز ترے حسن بتاں ہے ہیچ

جز ذکر یار اور کہانی نہیں پسند

سب قصے مجھ کو ہیچ ہیں اور قصہ خواں ہے ہیچ

نالاں جو ہیں جہاں میں غم عشق سے ترے

ناقوس ان کو ہیچ ہے بانگ اذاں ہے ہیچ

کیا اصل تیغ کی ترے ابرو کے سامنے

تیر مژہ کے سامنے نوک سناں ہے ہیچ

ہیں بند آنکھیں برقؔ کی دل میں ہے تیری یاد

کیا دیکھے سر اٹھا کے اسے سب جہاں ہے ہیچ

شیام سندر لال برق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech

Shyam Sunder Lal Barq

nawak-zani nigah ki ai jaan-e-jaan hai hech
jab tir hi na par hua to kaman hai hech

dair-o-haram bhi hech hain aur hech bagh-o-ragh
koi jagah ho be tere ai la-makan hai hech

firdaus hum ko saya-e-daman-e-yar hai
duniya ki asl kuchh nahin bagh-e-jinan hai hech

kuchh maut ka na gham hai na kuchh rahat-e-hayat
kuche mein us ke mujh ko bahaar-o-KHizan hai hech

chaaragari karega jo wo hai mizaj-dan
dard-e-darun ka ru-ba-ru us ke bayan hai hech

ho ja ke ku-e-yar mein ai murgh-e-jaan muqim
bagh-o-bahaar hech hai aur aashiyan hai hech

qatil ke pas jaunga main KHud hi sar-ba-kaf
maqtal mein us ka aana pae imtihan hai hech

kya takiya us pe kijiye aalam hai be-sabaat
hasti abas hayat abas jism-o-jaan hai hech

tauhid-e-ishq mein mujhe donon hain ek se
marg-o-hayat hech hai sud-o-ziyan hai hech

jo us ki KHubiyon ka sana-KHwan na ho kabhi
wo hech aur us ke dahan mein zaban hai hech

hun mahw-e-did aankh uThaun main kis taraf
dekhun main kis ko juz tere husn-e-butan hai hech

juz zikr-e-yar aur kahani nahin pasand
sab qisse mujh ko hech hain aur qissa-KHwan hai hech

nalan jo hain jahan mein gham-e-ishq se tere
naqus un ko hech hai bang-e-azan hai hech

kya asl tegh ki tere abru ke samne
tir-e-mizha ke samne nok-e-sinan hai hech

hain band aankhen 'barq' ki dil mein hai teri yaad
kya dekhe sar uTha ke use sab jahan hai hech

(256) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech written by Shyam Sunder Lal Barq at UrduPoint. Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech is one of the masterpieces written by Shyam Sunder Lal Barq. You can also find the complete poetry collection of Shyam Sunder Lal Barq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shyam Sunder Lal Barq' above.

Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nawak-zani Nigah Ki Ai Jaan-e-jaan Hai Hech, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.