BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai, Urdu Ghazal By Siraj Mir Khan Sahab Sahar

BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Siraj Mir Khan Sahab Sahar. BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بڑھ گئی یہ گردش سر ناتواں چکر میں ہے

سراج میر خان صاحب سحر

بڑھ گئی یہ گردش سر ناتواں چکر میں ہے

اب زمیں چکر میں ہے یا آسماں چکر میں ہے

میں وہ بادہ نوش ہوں ساقی کہ مجھ کو دیکھ کر

غنچے حیرت میں ہیں اور پیر مغاں چکر میں ہے

آج ہے اس کی زباں پر کل زباں پر آپ کی

گردش قسمت سے میری داستاں چکر میں ہے

جو ہیں گویا بزم دشمن میں بھی وہ رکتی نہیں

بیچ میں بتیس دانتوں کے زباں چکر میں ہے

اب کہاں وہ سایۂ اشجار جس میں سر چھپائے

لوٹ کر گلزار کو باد خزاں چکر میں ہے

تیرہ دل کو سر چڑھا کر یہ ثمر حاصل ہوا

باڑھ آئی تیغ پر سنگ فساں چکر میں ہے

جو ہیں دانا پس رہے ہیں گردش ایام سے

آشیاں کی طرح سر پر آسماں چکر میں ہے

چھوڑنا گھر بار کا ہے موجب آوارگی

جسم بے جاں خاک میں روح رواں چکر میں ہے

گونجتے ہیں نالہ ہائے قیس کوہ و دشت میں

اب کدھر لے جائے ناقہ سارباں چکر میں ہے

حکم ہے آنے نا پائے اب صدائے سحر بھی

کس طرح روکے ہوا کو پاسباں چکر میں ہے

سراج میر خان صاحب سحر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai

Siraj Mir Khan Sahab Sahar

baDh gai ye gardish-e-sar na-tawan chakkar mein hai
ab zamin chakkar mein hai ya aasman chakkar mein hai

main wo baada-nosh hun saqi ki mujh ko dekh kar
ghunche hairat mein hain aur pir-e-mughan chakkar mein hai

aaj hai us ki zaban par kal zaban par aap ki
gardish-e-qismat se meri dastan chakkar mein hai

jo hain goya bazm-e-dushman mein bhi wo rukti nahin
bich mein battis danton ke zaban chakkar mein hai

ab kahan wo saya-e-ashjar jis mein sar chhupae
luT kar gulzar ko baad-e-KHizan chakkar mein hai

tera dil ko sar chaDha kar ye samar hasil hua
baDh aai tegh par sang-e-fasan chakkar mein hai

jo hain dana pis rahe hain gardish-e-ayyam se
aashiyan ki tarah sar par aasman chakkar mein hai

chhoDna ghar bar ka hai mujib-e-awargi
jism-e-be-jaan KHak mein ruh-e-rawan chakkar mein hai

gunjte hain nala-ha-e-qais koh-o-dasht mein
ab kidhar le jae naqa sarban chakkar mein hai

hukm hai aane na pae ab sada-e-sehr bhi
kis tarah roke hawa ko pasban chakkar mein hai

(365) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai written by Siraj Mir Khan Sahab Sahar at UrduPoint. BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai is one of the masterpieces written by Siraj Mir Khan Sahab Sahar. You can also find the complete poetry collection of Siraj Mir Khan Sahab Sahar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Siraj Mir Khan Sahab Sahar' above.

BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaDh Gai Ye Gardish-e-sar Na-tawan Chakkar Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.