Main KHud Se Mayus Nahin Hun, Urdu Nazam By Sulaiman Areeb

Main KHud Se Mayus Nahin Hun is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Sulaiman Areeb. Main KHud Se Mayus Nahin Hun comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Main KHud Se Mayus Nahin Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں خود سے مایوس نہیں ہوں

سلیمان اریب

میں خود سے مایوس نہیں ہوں

انساں سے مایوس ہوں تھوڑا

دھرتی پر آنے سے پہلے

وہ اور میں ساتھ رہا کرتے تھے

جنت میں

لیکن اس کو صدیاں بیتیں

اب اس سے میرا کیا رشتہ

ویسے وہ بھی مجھ جیسا ہے

میری طرح کھاتا پیتا چلتا پھرتا ہے

ہم دونوں ہم شکل ہیں اتنے

کچھ بھی کرے وہ

چاند پہ جائے دھرتی پر

جنگ کرے اور خون بہائے

آنچ مرے دامن پر آئے

ہم دونوں ہم شکل ہیں لیکن

کیا میں اپنی ماں بہنوں کو

چوراہے پر ننگا کر سکتا ہوں

وہ کرتا ہے

وہ پستانیں جن سے میں نے دودھ پیا

بلوان بنا ہوں

جن پر میں نے شعر کہے

تصویریں بنائیں

کیا میں ان کو کاٹ کے

کتوں کو کھلوا سکتا ہوں

کہتے ہیں کھلوایا اس نے

کیا میں نسوانی پیکر کو

جو میرا موضوع سخن ہے

پھول سے کومل

چاند سے شیتل

کی بوتل

جو میری بیوی کا بدن ہے اس کو

ٹکڑے ٹکڑے کر سکتا ہوں

اس نے کیا ہے

کیا میں اپنی بیٹی سے منہ کالا کر کے

اپنے بھائی بندوں ہم جنسوں کو

بڈھوں جوانوں معصوموں کو

زندہ جلا کر

پھانسی کے تختے پہ چڑھا کر

ان کے لہو کا تلک لگا کر

مونچھ پہ تاؤ دے سکتا ہوں

اس نے دیا ہے

میں خود سے مایوس نہیں ہوں

انساں سے مایوس ہوں تھوڑا

آج ہی سارے اخباروں میں خبر چھپی ہے

اس دھرتی کے اک حصے گجرات میں اس نے

میرے منہ پر تھوک دیا ہے

سلیمان اریب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main KHud Se Mayus Nahin Hun

Sulaiman Areeb

main KHud se mayus nahin hun
insan se mayus hun thoDa
dharti par aane se pahle
wo aur main sath raha karte the
jannat mein
lekin is ko sadiyan bitin
ab us se mera kya rishta
waise wo bhi mujh jaisa hai
meri tarah khata pita chalta phirta hai
hum donon ham-shakl hain itne
kuchh bhi kare wo
chand pe jae dharti par
jang kare aur KHun bahae
aanch mere daman par aae
hum donon ham-shakl hain lekin
kya main apni man bahnon ko
chaurahe par nanga kar sakta hun
wo karta hai
wo pistanen jin se main ne dudh piya
balwan bana hun
jin par main ne sher kahe
taswiren banain
kya main un ko kaT ke
kutton ko khilwa sakta hun
kahte hain khilwaya us ne
kya main niswani paikar ko
jo mera mauzu-e-suKHan hai
phul se komal
chand se shital
ki botal
jo meri biwi ka badan hai us ko
TukDe TukDe kar sakta hun
us ne kiya hai
kya main apni beTi se munh kala kar ke
apne bhai-bandon ham-jinson ko
buDDhon jawanon masumon ko
zinda jala kar
phansi ke taKHte pe chaDha kar
un ke lahu ka tilak laga kar
munchh pe taw de sakta hun
us ne diya hai
main KHud se mayus nahin hun
insan se mayus hun thoDa
aaj hi sare aKHbaron mein KHabar chhapi hai
is dharti ke ek hisse gujraat mein us ne
mere munh par thuk diya hai

(426) ووٹ وصول ہوئے

You can read Main KHud Se Mayus Nahin Hun written by Sulaiman Areeb at UrduPoint. Main KHud Se Mayus Nahin Hun is one of the masterpieces written by Sulaiman Areeb. You can also find the complete poetry collection of Sulaiman Areeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sulaiman Areeb' above.

Main KHud Se Mayus Nahin Hun is a widely read Urdu Nazam. If you like Main KHud Se Mayus Nahin Hun, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.