Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta, Urdu Ghazal By Sulaiman Faraz Hasanpuri

Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sulaiman Faraz Hasanpuri. Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگر زخمی نہ ہو تو یہ جگر اچھا نہیں لگتا

سلیمان فراز حسن پوری

اگر زخمی نہ ہو تو یہ جگر اچھا نہیں لگتا

کہ بے آنسو محبت کا سفر اچھا نہیں لگتا

ترے بن شہر بھی جان جگر اچھا نہیں لگتا

اگر گھر میں چلا جاؤں تو گھر اچھا نہیں لگتا

بھٹک کر ساری دنیا میں یہیں پر لوٹ آتا ہوں

ترے در کے سوا کوئی بھی در اچھا نہیں لگتا

سوال عشق پر مجھ سے بہانے کیوں بناتا ہے

تو مجھ سے صاف کہہ دے میں اگر اچھا نہیں لگتا

جدھر دیکھو ادھر ہی چاند سے چہرے نظر آئیں

مجھے تیرے سوا کوئی مگر اچھا نہیں لگتا

مجھے تجھ سے محبت ہے تری یادوں سے رغبت ہے

مگر یہ جاگنا بھی رات بھر اچھا نہیں لگتا

ہیں اپنی جان سے پیاری مجھے خودداریاں اپنی

کسی کے سامنے جھک جائے سر اچھا نہیں لگتا

کوئی مجبور ہو کر ہی وطن سے دور رہتا ہے

نہیں تو کون ہے وہ جس کو گھر اچھا نہیں لگتا

نہیں ہے اعتراض بندگی لیکن مجھے ناصح

جہاں سر تو جھکاتا ہے وہ در اچھا نہیں لگتا

فرازؔ اہل سخن فن سے ترے مانوس ہیں لیکن

انہیں تیرا بلندی کا سفر اچھا نہیں لگتا

سلیمان فراز حسن پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta

Sulaiman Faraz Hasanpuri

agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta
ki be-ansu mohabbat ka safar achchha nahin lagta

tere bin shahr bhi jaan-e-jigar achchha nahin lagta
agar ghar mein chala jaun to ghar achchha nahin lagta

bhaTak kar sari duniya mein yahin par lauT aata hun
tere dar ke siwa koi bhi dar achchha nahin lagta

sawal-e-ishq par mujh se bahane kyon banata hai
tu mujh se saf kah de main agar achchha nahin lagta

jidhar dekho udhar hi chand se chehre nazar aaen
mujhe tere siwa koi magar achchha nahin lagta

mujhe tujh se mohabbat hai teri yaadon se raghbat hai
magar ye jagna bhi raat bhar achchha nahin lagta

hain apni jaan se pyari mujhe KHuddariyan apni
kisi ke samne jhuk jae sar achchha nahin lagta

koi majbur ho kar hi watan se dur rahta hai
nahin to kaun hai wo jis ko ghar achchha nahin lagta

nahin hai e'tiraaz-e-bandagi lekin mujhe naseh
jahan sar tu jhukata hai wo dar achchha nahin lagta

'faraaz' ahl-e-suKHan fan se tere manus hain lekin
unhen tera bulandi ka safar achchha nahin lagta

(577) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta written by Sulaiman Faraz Hasanpuri at UrduPoint. Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta is one of the masterpieces written by Sulaiman Faraz Hasanpuri. You can also find the complete poetry collection of Sulaiman Faraz Hasanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sulaiman Faraz Hasanpuri' above.

Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agar ZaKHmi Na Ho To Ye Jigar Achchha Nahin Lagta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.