Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain, Urdu Ghazal By Syed Abid Ali Abid

Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Abid Ali Abid. Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شوق سے خود جو مرے راہنما ہوتے ہیں

سید عابد علی عابد

شوق سے خود جو مرے راہنما ہوتے ہیں

مری قسمت کہ وہی آبلہ پا ہوتے ہیں

لفظ کی بزم پر اسرار میں خوبان خیال

کبھی مستور کبھی چہرہ کشا ہوتے ہیں

شعر کے روپ میں ڈھلتے نہیں وہ ہنگامے

جو مری بزم تصور میں بپا ہوتے ہیں

اب یہ عالم ہے کہ مرنے پہ چلے آئیں جو دوست

وہ بھی من جملۂ ارباب وفا ہوتے ہیں

یہی بت شب کے اندھیرے میں جو ہیں طالب شوق

یہی بت دن کے اجالے میں خدا ہوتے ہیں

کوئی پروانوں کو سمجھاؤ کہ جینے کے سوا

اور بھی چند مقامات وفا ہوتے ہیں

بادہ نوشی پہ مصر بادہ فروشی پہ خفا

محو حیرت ہوں کہ یہ لوگ بھی کیا ہوتے ہیں

شرع و آئیں کی ہر اک آڑ میں کرتے ہیں سوال

یہ جو زرتار قباؤں میں گدا ہوتے ہیں

کیا بتائیں تجھے کیوں ہوتے ہیں اس بن بے چین

ناصحا تنگ نہ کر کہہ جو دیا ہوتے ہیں

مجھے بیتی ہوئی راتوں کی مہک آتی ہے

ہجر کے دن بھی تری زلف رسا ہوتے ہیں

لب پہ ہوتی ہوئی آنکھوں میں ہنسی جاتی ہے

اے بتو پیار کے انداز جدا ہوتے ہیں

مرے گلشن میں جو پابند قفس ہیں وہ طیور

دیدہ ور شعلہ زباں نغمہ سرا ہوتے ہیں

نظر آتے ہیں جہاں خون کے دریا جاری

تہ میں دیوانوں کے نقش کف پا ہوتے ہیں

شعر سن کر مرے ہنستے ہیں کہ عاشق ہے کہیں

یعنی خوبان ستم پیشہ بلا ہوتے ہیں

قرض جتنے غم دوراں کے ہیں مجھ پر عابدؔ

غم جاناں کے وسیلے سے ادا ہوتے ہیں

سید عابد علی عابد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain

Syed Abid Ali Abid

shauq se KHud jo mere rah-numa hote hain
meri qismat ki wahi aabla-pa hote hain

lafz ki bazm-e-pur-asrar mein KHuban-e-KHayal
kabhi mastur kabhi chehra-kusha hote hain

sher ke rup mein Dhalte nahin wo hangame
jo meri bazm-e-tasawwur mein bapa hote hain

ab ye aalam hai ki marne pe chale aaen jo dost
wo bhi min-jumla-e-arbab-e-wafa hote hain

yahi but shab ke andhere mein jo hain talib-e-shauq
yahi but din ke ujale mein KHuda hote hain

koi parwanon ko samjhao ki jine ke siwa
aur bhi chand maqamat-e-wafa hote hain

baada-noshi pe musir baada-faroshi pe KHafa
mahw-e-hairat hun ki ye log bhi kya hote hain

shara-o-ain ki har ek aaD mein karte hain sawal
ye jo zartar qabaon mein gada hote hain

kya bataen tujhe kyon hote hain us bin bechain
naseha tang na kar kah jo diya hote hain

mujhe biti hui raaton ki mahak aati hai
hijr ke din bhi teri zulf-e-rasa hote hain

lab pe hoti hui aankhon mein hansi jati hai
ai buto pyar ke andaz juda hote hain

mere gulshan mein jo paband-e-qafas hain wo tuyur
dida-war shoala-zaban naghma-sara hote hain

nazar aate hain jahan KHun ke dariya jari
tah mein diwanon ke naqsh-e-kaf-e-pa hote hain

sher sun kar mere hanste hain ki aashiq hai kahin
yani KHuban-e-sitam-pesha bala hote hain

qarz jitne gham-e-dauran ke hain mujh par 'abid'
gham-e-jaanan ke wasile se ada hote hain

(523) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain written by Syed Abid Ali Abid at UrduPoint. Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain is one of the masterpieces written by Syed Abid Ali Abid. You can also find the complete poetry collection of Syed Abid Ali Abid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Abid Ali Abid' above.

Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shauq Se KHud Jo Mere Rah-numa Hote Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.