Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka, Urdu Ghazal By Syed Ameer Hasan Badar

Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Ameer Hasan Badar. Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں گلہ کر رہا ہوں قسمت کا

سید امیر حسن بدر

میں گلہ کر رہا ہوں قسمت کا

کون موقع ہے یہ شکایت کا

تھا اثر دل میں کچھ محبت کا

پوچھتے تھے نشان تربت کا

بدرؔ وارفتہ ہو کے حضرت کا

کس سے ہے ادعا رقابت کا

ڈر نہ تھا دل میں کچھ قیامت کا

تھا بھروسا تری شفاعت کا

جل اٹھا دل میں داغ حسرت کا

بجھ گیا جب چراغ تربت کا

سن کے واعظ کی پی گئے مے کش

مقتضا تھا یہی شرافت کا

عرق آلودہ رخ کا وصف لکھا

عطر کھینچا گل لطافت کا

شب فرقت تھی رات تربت کی

روز فرقت تھا دن قیامت کا

نہیں ملتا ادا شناسوں کو

تولا ماشہ مزاج حضرت کا

زندگی کا بھی ٹھیکا لیتے ہو

وعدہ کرتے تو ہو قیامت کا

واہ رے حسن تیری رعنائی

رنگ بدلا حیا طبیعت کا

نہ تو مے ہے نہ جام و ساقی ہے

رنگ پھیکا ہے آج صحبت کا

شب گیسو سے بھی دراز ہے یہ

طول کیا کہئے روز فرقت کا

رتی سیم قمر کی چمکی ہے

اوج دیکھو تو اہل دولت کا

پست سے پست زینہ ہے کرسی

آپ کے بام عرش رفعت کا

کس غضب کی ہے سانولی صورت

شور عالم میں ہے ملاحت کا

بے حقیقت یہ خاک کا پتلا

اک نمونہ ہے تیری صنعت کا

آج کیا ہوں ازل سے پروانہ

میں تری شمع بزم قربت کا

دشت غربت میں میرے سر پر تھا

سائباں تیری نیلگوں چھت کا

بدرؔ تم بھی تو ہو بنی ہاشم

فخر بے جا نہیں سیادت کا

بدرؔ مرحوم کو خدا بخشے

آدمی تھا بڑی مروت کا

سید امیر حسن بدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka

Syed Ameer Hasan Badar

main gila kar raha hun qismat ka
kaun mauqa hai ye shikayat ka

tha asar dil mein kuchh mohabbat ka
puchhte the nishan turbat ka

'badr' warafta ho ke hazrat ka
kis se hai iddaa raqabat ka

Dar na tha dil mein kuchh qayamat ka
tha bharosa teri shafaat ka

jal uTha dil mein dagh hasrat ka
bujh gaya jab charagh turbat ka

sun ke waiz ki pi gae mai-kash
muqtaza tha yahi sharafat ka

araq-aluda ruKH ka wasf likha
itr khincha gul-e-latafat ka

shab-e-furqat thi raat turbat ki
roz-e-furqat tha din qayamat ka

nahin milta ada-shanason ko
tola masha mizaj hazrat ka

zindagi ka bhi Theka lete ho
wada karte to ho qayamat ka

wah re husn teri ranai
rang badla haya-tabiat ka

na to mai hai na jam-o-saqi hai
rang phika hai aaj sohbat ka

shab-e-gesu se bhi daraaz hai ye
tul kya kahiye roz-e-furqat ka

ratti sim-e-qamar ki chamki hai
auj dekho to ahl-e-daulat ka

past se past zina hai kursi
aap ke baam-e-arsh-rifat ka

kis ghazab ki hai sanwli surat
shor aalam mein hai malahat ka

be-haqiqat ye KHak ka putla
ek namuna hai teri sanat ka

aaj kya hun azal se parwana
main teri shama-e-bazm-e-qurbat ka

dasht-e-ghurbat mein mere sar par tha
saeban teri nilgun chhat ka

'badr' tum bhi to ho bani hashim
faKHr beja nahin siyaadat ka

'badr'-e-marhum ko KHuda baKHshe
aadmi tha baDi murawwat ka

(374) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka written by Syed Ameer Hasan Badar at UrduPoint. Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka is one of the masterpieces written by Syed Ameer Hasan Badar. You can also find the complete poetry collection of Syed Ameer Hasan Badar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Ameer Hasan Badar' above.

Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Gila Kar Raha Hun Qismat Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.