Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge, Urdu Ghazal By Syed Muzaffar Ahmad Ziya

Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Muzaffar Ahmad Ziya. Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تحریر ہم افسانۂ غم کرتے رہیں گے

سید مظفر احمد ضیا

تحریر ہم افسانۂ غم کرتے رہیں گے

سر مرحلۂ لوح و قلم کرتے رہیں گے

زنداں میں جو آئے ہیں تو چھیڑیں گے نئے گیت

لے نغمۂ زنجیر کی کم کرتے رہیں گے

کب تک یوں ہی چھائیں گے تصور کے افق پر

کب تک وہ خیالوں پہ کرم کرتے رہیں گے

سوچا ہے کہ برداشت کی خو ڈالیں گے ہم بھی

ہنس ہنس کے تلافیٔ ستم کرتے رہیں گے

نیرنگیٔ ماحول پہ لکھیں گے غزل بھی

اور مرثیۂ نو بھی رقم کرتے رہیں گے

ہے دل میں حضوری کی تمنا تو جبیں کو

شائستۂ آداب حرم کرتے رہیں گے

ہم اہل قلم اس کو سمجھتے ہیں فریضہ

سچائی کو الفاظ میں ضم کرتے رہیں گے

محسوس یہ ہوتا ہے ضیاؔ فکر کے دشمن

فن کار کے ہاتھوں کو قلم کرتے رہیں گے

سید مظفر احمد ضیا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

tahrir hum afsana-e-gham karte rahenge
sar marhala-e-lauh-o-qalam karte rahenge

zindan mein jo aae hain to chheDenge nae git
lai naghma-e-zanjir ki kam karte rahenge

kab tak yunhi chhaenge tasawwur ke ufuq par
kab tak wo KHayalon pe karam karte rahenge

socha hai ki bardasht ki KHu Dalenge hum bhi
hans hans ke talafi-e-sitam karte rahenge

nairangi-e-mahaul pe likkhenge ghazal bhi
aur marsiya-e-nau bhi raqam karte rahenge

hai dil mein huzuri ki tamanna to jabin ko
shaista-e-adab-e-haram karte rahenge

hum ahl-e-qalam us ko samajhte hain fariza
sachchai ko alfaz mein zam karte rahenge

mahsus ye hota hai 'ziya' fikr ke dushman
fankar ke hathon ko qalam karte rahenge

(273) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge written by Syed Muzaffar Ahmad Ziya at UrduPoint. Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge is one of the masterpieces written by Syed Muzaffar Ahmad Ziya. You can also find the complete poetry collection of Syed Muzaffar Ahmad Ziya by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Muzaffar Ahmad Ziya' above.

Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tahrir Hum Afsana-e-gham Karte Rahenge, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.