Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye, Urdu Ghazal By T N Raaz

Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, T N Raaz. Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غالبؔ کی ہر زمیں میں خرافات چاہئے

ٹی این راز

غالبؔ کی ہر زمیں میں خرافات چاہئے

تخریب کچھ تو بہر ملاقات چاہئے

چوروں کو بور کیجے نہ ایسے خلوص سے

دن کا وہ کیا کریں گے انہیں رات چاہئے

جو کچھ بھی آپ چاہیں گے مل جائے گا حضور

بس منتری سے تھوڑی ملاقات چاہئے

انسانیت کو لوٹنے والوں کا ہے علاج

ایسے حرام خوروں کو بس لات چاہئے

گر چاہتے ہیں آپ کہ مجنوں سا عشق ہو

پتھر بھی سر پہ کھانے کی اوقات چاہئے

شادی ہے اک یتیم کی خوشیوں کو بانٹنے

اک ناچتی کرائے پہ بارات چاہئے

مذہب کے اور سیکس کے بزنس کے واسطے

سنتوں سی سادھوؤں سی کرامات چاہئے

ان قیدیوں کے جرم کی تفصیل کے لئے

مجھ کو بھی چند روز حوالات چاہئے

جن کو خدا کی ذات سے کچھ انحراف ہے

استاد ایسے لوگوں کا بد ذات چاہئے

پانی کے دیوتا سے مری ہے یہی دعا

دلبر نہ لوٹ پائے وہ برسات چاہئے

اک بوسہ ہم کو دے دو محبت کے نام پر

ہم حسن کے فقیر ہیں خیرات چاہئے

لعنت ہے تم پہ رازؔ کہ ننگی ہی لے چلے

کاغذ میں لپٹی آپ کی سوغات چاہئے

ٹی این راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye

T N Raaz

'ghaalib' ki har zamin mein KHurafat chahiye
taKHrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye

choron ko bor kije na aise KHulus se
din ka wo kya karenge unhen raat chahiye

jo kuchh bhi aap chahenge mil jaega huzur
bas mantari se thoDi mulaqat chahiye

insaniyat ko luTne walon ka hai ilaj
aise haram-KHoron ko bas lat chahiye

gar chahte hain aap ki majnun sa ishq ho
patthar bhi sar pe khane ki auqat chahiye

shadi hai ek yatim ki KHushiyon ko banTne
ek nachti kirae pe baraat chahiye

mazhab ke aur sex ke business ke waste
santon si sadhuon si karamat chahiye

in qaidiyon ke jurm ki tafsil ke liye
mujh ko bhi chand roz hawalat chahiye

jin ko KHuda ki zat se kuchh inhiraf hai
ustad aise logon ka bad-zat chahiye

pani ke dewta se meri hai yahi dua
dilbar na lauT pae wo barsat chahiye

ek bosa hum ko de do mohabbat ke nam par
hum husn ke faqir hain KHairaat chahiye

lanat hai tum pe 'raaz' ki nangi hi le chale
kaghaz mein lipTi aap ki saughat chahiye

(411) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye written by T N Raaz at UrduPoint. Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye is one of the masterpieces written by T N Raaz. You can also find the complete poetry collection of T N Raaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of T N Raaz' above.

Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghaalib Ki Har Zamin Mein KHurafat Chahiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.