Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki, Urdu Ghazal By Taashshuq Lakhnavi

Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Taashshuq Lakhnavi. Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

باغ میں پھولوں کو روند آئی سواری آپ کی

تعشق لکھنوی

باغ میں پھولوں کو روند آئی سواری آپ کی

کس قدر ممنون ہے باد بہاری آپ کی

بے وفائی آپ کی غفلت شعاری آپ کی

میرے دل نے عادتیں سیکھی ہیں ساری آپ کی

ہے یقیں باہم گلے ملنے کو اٹھیں دست شوق

ہو اگر تصویر بھی یکجا ہماری آپ کی

میکدے میں ٹوٹے جاتے ہیں بہم لڑ لڑ کے جام

مفسدہ پرداز ہے چشم خماری آپ کی

جذب اسے کہتے ہیں آئے کہنے میری قبر تک

اب یہاں سے بڑھ نہیں سکتی سواری آپ کی

کرتی ہیں اندھیر ہاتھوں کی یہ کالی میلیاں

قاتل عالم ہوئی ہے سوگواری آپ کی

جا بجا ہوتے ہیں دامن گیر دل عشاق کے

ہر قدم پر آج رکتی ہے سواری آپ کی

یاد ایامے کہ تھا زوروں پہ جذب حسن و عشق

وہ مرے دل کا تڑپنا بے قراری آپ کی

ہے شب مہتاب گورے رنگ سے کپڑے سیاہ

حسن کو چمکا رہی ہے سوگواری آپ کی

دو طرح کے ایک ساغر میں لبالب ہے شراب

خواب آلودہ نہیں چشم خماری آپ کی

میرے لاشے کو لیے پھرتے ہیں ان راہوں میں لوگ

جن گلی کوچوں میں پھرتی تھی سواری آپ کی

آج کس پر رحم آیا کس کو روئے ہیں حضور

ہے نصیب دشمناں آواز بھاری آپ کی

عہد میں مجنوں کے لیلیٰ کا رہا کیا دور دور

اب تعشقؔ کے زمانے میں ہے باری آپ کی

تعشق لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki

Taashshuq Lakhnavi

bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki
kis qadar mamnun hai baad-e-bahaari aap ki

bewafai aap ki ghaflat-shiari aap ki
mere dil ne aadaten sikhi hain sari aap ki

hai yaqin baham gale milne ko uTThen dast-e-shauq
ho agar taswir bhi yakja hamari aap ki

mai-kade mein TuTe jate hain baham laD laD ke jam
mufsida-pardaz hai chashm-e-KHumari aap ki

jazb ise kahte hain aae kahne meri qabr tak
ab yahan se baDh nahin sakti sawari aap ki

karti hain andher hathon ki ye kali mailiyan
qatil-e-alam hui hai sogwari aap ki

ja-ba-ja hote hain daman-gir dil ushshaq ke
har qadam par aaj rukti hai sawari aap ki

yaad-e-ayyame ki tha zoron pe jazb-e-husn-o-ishq
wo mere dil ka taDapna be-qarari aap ki

hai shab-e-mahtab gore rang se kapDe siyah
husn ko chamka rahi hai sogwari aap ki

do tarah ke ek saghar mein labaalab hai sharab
KHwab-aluda nahin chashm-e-KHumari aap ki

mere lashe ko liye phirte hain un rahon mein log
jin gali-kuchon mein phirti thi sawari aap ki

aaj kis par rahm aaya kis ko roe hain huzur
hai nasib-e-dushmanan aawaz bhaari aap ki

ahd mein majnun ke laila ka raha kya daur daur
ab 'tashshuq' ke zamane mein hai bari aap ki

(449) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki written by Taashshuq Lakhnavi at UrduPoint. Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki is one of the masterpieces written by Taashshuq Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Taashshuq Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Taashshuq Lakhnavi' above.

Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bagh Mein Phulon Ko Raund Aai Sawari Aap Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.