Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai, Urdu Ghazal By Talat Farooq

Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Farooq. Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے فیض عام پر سائل کہاں ہے

طلعت فاروق

ہے فیض عام پر سائل کہاں ہے

لہو گرنے کو ہے قاتل کہاں ہے

طلسم دشت کا مارا ہے مجنوں

سراب چشم ہے محمل کہاں ہے

طلب کی انتہا ہی ابتدا ہے

نظر آتی ہے جو منزل کہاں ہے

ستاروں سے بھی آگے آ گئی ہوں

میری پرواز کا حاصل کہاں ہے

گل نرگس نے پوچھا رات مجھ سے

تری آنکھوں میں تھا جو تل کہاں ہے

میں آئینوں میں گھر کر رہ گئی ہوں

مرا چہرہ تو ہے پر دل کہاں ہے

طلعت فاروق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai

Talat Farooq

hai faiz-e-am par sail kahan hai
lahu girne ko hai qatil kahan hai

tilism-e-dasht ka mara hai majnun
sarab-e-chashm hai mahmil kahan hai

talab ki intiha hi ibtida hai
nazar aati hai jo manzil kahan hai

sitaron se bhi aage aa gai hun
meri parwaz ka hasil kahan hai

gul-e-nargis ne puchha raat mujh se
teri aankhon mein tha jo til kahan hai

main aainon mein ghir kar rah gai hun
mera chehra to hai par dil kahan hai

(196) ووٹ وصول ہوئے

You can read Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai written by Talat Farooq at UrduPoint. Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai is one of the masterpieces written by Talat Farooq. You can also find the complete poetry collection of Talat Farooq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Farooq' above.

Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Faiz-e-am Par Sail Kahan Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.