Pani Bharte Jate Hain, Urdu Ghazal By Tanveer Qazi

Pani Bharte Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tanveer Qazi. Pani Bharte Jate Hain comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pani Bharte Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پانی بھرتے جاتے ہیں

تنویر قاضی

پانی بھرتے جاتے ہیں

درشن کرتے جاتے ہیں

دل میں لگی تصویروں کے

رنگ اترتے جاتے ہیں

خالی مشکیزوں کے ساتھ

آہیں بھرتے جاتے ہیں

دھندلی آنکھوں کے پیچھے

خواب بھی مرتے جاتے ہیں

غزل کی سیڑھی پر چڑھتے

ڈرتے ڈرتے جاتے ہیں

جیسے پیاز کے چھلکے ہوں

بھید اترتے جاتے ہیں

اشک اگربتی اور پھول

قبر پہ دھرتے جاتے ہیں

تنویر قاضی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pani Bharte Jate Hain

Tanveer Qazi

pani bharte jate hain
darshan karte jate hain

dil mein lagi taswiron ke
rang utarte jate hain

KHali mashkizon ke sath
aahen bharte jate hain

dhundli aankhon ke pichhe
KHwab bhi marte jate hain

ghazal ki siDhi par chaDhte
Darte Darte jate hain

jaise pyaz ke chhilke hon
bhed utarte jate hain

ashk agarbatti aur phul
qabr pe dharte jate hain

(197) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pani Bharte Jate Hain written by Tanveer Qazi at UrduPoint. Pani Bharte Jate Hain is one of the masterpieces written by Tanveer Qazi. You can also find the complete poetry collection of Tanveer Qazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tanveer Qazi' above.

Pani Bharte Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pani Bharte Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.