Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain, Urdu Ghazal By Tashna Azmi

Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tashna Azmi. Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری بے خواب ان آنکھوں کے منظر بول پڑتے ہیں

تشنہ اعظمی

مری بے خواب ان آنکھوں کے منظر بول پڑتے ہیں

یہ چادر بول پڑتی ہے یہ بستر بول پڑتے ہیں

بھلا کیسے چھپاؤں اپنا یہ پر درد افسانہ

میں چپ رہتا ہوں تو غم کے سمندر بول پڑتے ہیں

بجائے آنسوؤں کے خون برساتی ہیں یہ آنکھیں

پرانے زخم جب اس دل کے اندر بول پڑتے ہیں

ہے جس کا نام سچائی بس اس کے حق میں تم اور ہم

مگر تردید میں لشکر کے لشکر بول پڑتے ہیں

ہماری لب کشائی پر ہے کیوں کر اتنا ہنگامہ

مسلسل ٹھوکریں کھا کر تو پتھر بول پڑتے ہیں

میاں ایسی عدالت میں بھلا انصاف کیا ہوگا

جہاں مظلوم سے پہلے ستم گر بول پڑتے ہیں

غنیمت ہے کہ اب بھی بادلوں کی اوٹ سے تشنہؔ

اندھیروں کے مخالف ماہ و اختر بول پڑتے ہیں

تشنہ اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain

Tashna Azmi

meri be-KHwab in aankhon ke manzar bol paDte hain
ye chadar bol paDti hai ye bistar bol paDte hain

bhala kaise chhupaun apna ye pur-dard afsana
main chup rahta hun to gham ke samundar bol paDte hain

bajae aansuon ke KHun barsati hain ye aankhen
purane zaKHm jab is dil ke andar bol paDte hain

hai jis ka nam sachchai bas us ke haq mein tum aur hum
magar tardid mein lashkar ke lashkar bol paDte hain

hamari lab-kushai par hai kyon kar itna hangama
musalsal Thokaren kha kar to patthar bol paDte hain

miyan aisi 'adalat mein bhala insaf kya hoga
jahan mazlum se pahle sitam-gar bol paDte hain

ghanimat hai ki ab bhi baadalon ki oT se 'tashna'
andheron ke muKHalif mah-o-aKHtar bol paDte hain

(262) ووٹ وصول ہوئے

You can read Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain written by Tashna Azmi at UrduPoint. Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain is one of the masterpieces written by Tashna Azmi. You can also find the complete poetry collection of Tashna Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tashna Azmi' above.

Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Be-KHwab In Aankhon Ke Manzar Bol PaDte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.