Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat, Urdu Ghazal By Tufail Dara

Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tufail Dara. Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان کی محفل میں چلی ہے مرے افکار کی بات

طفیل دارا

ان کی محفل میں چلی ہے مرے افکار کی بات

فکر نے میری سجھائی ہے مجھے دار کی بات

زردیٔ عارض دل آج بھی باقی ہے مری

عمر بھر کرتا رہا عارض گلنار کی بات

فاصلے ختم ہوئے جادہ بنا کوئے عدم

کس کو سمجھاؤں تری شوخئ رفتار کی بات

آدمی نظم خدائی سے الجھ بیٹھا ہے

اب یہاں سجدے کی ہوتی ہے نہ زنار کی بات

اپنی آواز سے بھی شاہ لرز اٹھتے ہیں

جب محلات میں ہو کوچہ و بازار کی بات

ساری دنیا در مقتل پہ سمٹ آئی ہے

آمد سیل ہے کیا ہو در و دیوار کی بات

اک تسلسل کے سوا کھیل میں کیا رکھا ہے

بے خبر کرتے ہیں کیوں جیت کی اور ہار کی بات

کر رہا ہوں میں رگ زیست سے پھر خون کشید

آئے گی ان کے لبوں پر ابھی ایثار کی بات

جانے کیوں فکر مری شعلہ فشاں ہوتی ہے

جب بھی کرتا ہے کوئی خسروی دربار کی بات

تم اگر چاہو تو میں ناگ سے ڈسوا لوں گا

سامنے میرے نہ کرنا کسی زردار کی بات

یاد آئے مجھے ویتنام سے اٹھتے شعلے

جب بھی چھیڑی ہے غم دل نے قد یار کی بات

محتسب نغمۂ پازیب کا پابند ہوا

شہر کے لب پہ ہے زنجیر کی جھنکار کی بات

نہ مسرت کا تصور ہے نہ غم کی تخئیل

زندگی اپنی ہے جیسے کوئی بیگار کی بات

طفیل دارا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat

Tufail Dara

un ki mahfil mein chali hai mere afkar ki baat
fikr ne meri sujhai hai mujhe dar ki baat

zardi-e-ariz-e-dil aaj bhi baqi hai meri
umr-bhar karta raha aariz-e-gulnar ki baat

fasle KHatm hue jada bana ku-e-adam
kis ko samjhaun teri shoKHi-e-raftar ki baat

aadmi nazm-e-KHudai se ulajh baiTha hai
ab yahan sajde ki hoti hai na zunnar ki baat

apni aawaz se bhi shah laraz uThte hain
jab mahallat mein ho kucha-o-bazar ki baat

sari duniya dar-e-maqtal pe simaT aai hai
aamad-e-sail hai kya ho dar-o-diwar ki baat

ek tasalsul ke siwa khel mein kya rakkha hai
be-KHabar karte hain kyon jit ki aur haar ki baat

kar raha hun main rag-e-zist se phir KHun kashid
aaegi un ke labon par abhi isar ki baat

jaane kyon fikr meri shoala-fishan hoti hai
jab bhi karta hai koi khusrawi darbar ki baat

tum agar chaho to main nag se Daswa lunga
samne mere na karna kisi zardar ki baat

yaad aae mujhe wietnam se uThte shoale
jab bhi chheDi hai gham-e-dil ne qad-e-yar ki baat

mohtasib naghma-e-pazeb ka paband hua
shahr ke lab pe hai zanjir ki jhankar ki baat

na masarrat ka tasawwur hai na gham ki taKHil
zindagi apni hai jaise koi begar ki baat

(213) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat written by Tufail Dara at UrduPoint. Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat is one of the masterpieces written by Tufail Dara. You can also find the complete poetry collection of Tufail Dara by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tufail Dara' above.

Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Unki Mahfil Mein Chali Hai Mere Afkar Ki Baat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.