Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai, Urdu Ghazal By Tufail Hoshiarpuri

Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tufail Hoshiarpuri. Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنے آپ سے بھی دنیا میں بیگانہ بن جاتا ہے

طفیل ہوشیارپوری

اپنے آپ سے بھی دنیا میں بیگانہ بن جاتا ہے

تم جس کو دیوانہ کہہ دو دیوانہ بن جاتا ہے

دل کا آنا ایک قیامت جتنے منہ اتنی باتیں

ہوتی ہے اک بات ذرا سی افسانہ بن جاتا ہے

جام و سبو کی قید نہیں ہے پیر مغاں کی شرط نہیں

رند جہاں ساغر چھلکا دیں مے خانہ بن جاتا ہے

عشق کا بھی انجام وہی ہے حسن کا بھی انجام وہی

جلتے جلتے شمع کا دل بھی پروانہ بن جاتا ہے

جس گلشن پر پڑ جاتا ہے پرتو آپ کی آنکھوں کا

اس گلشن کا غنچہ غنچہ پیمانہ بن جاتا ہے

بھولی بصری یادوں کے یوں نقش ابھرتے رہتے ہیں

کعبہ ان تصویروں سے ہی بت خانہ بن جاتا ہے

دل کا راز چھپا لیتا ہے خاموشی کے پردے میں

حد سے گزر کر دیوانہ بھی فرزانہ بن جاتا ہے

خون جگر سے رنگیں ہو کر جو پلکوں تک آ جائے

وہ آنسو دربار وفا میں نذرانہ بن جاتا ہے

صحرا گلشن بن جاتے ہیں دل ہو اگر آباد طفیلؔ

دل اجڑے تو گلشن گلشن ویرانہ بن جاتا ہے

طفیل ہوشیارپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai

Tufail Hoshiarpuri

apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai
tum jis ko diwana kah do diwana ban jata hai

dil ka aana ek qayamat jitne munh utni baaten
hoti hai ek baat zara si afsana ban jata hai

jam-o-subu ki qaid nahin hai pir-e-mughan ki shart nahin
rind jahan saghar chhalka den mai-KHana ban jata hai

ishq ka bhi anjam wahi hai husn ka bhi anjam wahi
jalte jalte shama ka dil bhi parwana ban jata hai

jis gulshan par paD jata hai partaw aap ki aankhon ka
us gulshan ka ghuncha ghuncha paimana ban jata hai

bhuli-bisri yaadon ke yun naqsh ubharte rahte hain
kaba in taswiron se hi but-KHana ban jata hai

dil ka raaz chhupa leta hai KHamoshi ke parde mein
had se guzar kar diwana bhi farzana ban jata hai

KHun-e-jigar se rangin ho kar jo palkon tak aa jae
wo aansu darbar-e-wafa mein nazrana ban jata hai

sahra gulshan ban jate hain dil ho agar aabaad 'tufail'
dil ujDe to gulshan gulshan virana ban jata hai

(232) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai written by Tufail Hoshiarpuri at UrduPoint. Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai is one of the masterpieces written by Tufail Hoshiarpuri. You can also find the complete poetry collection of Tufail Hoshiarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tufail Hoshiarpuri' above.

Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apne Aap Se Bhi Duniya Mein Begana Ban Jata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.