Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun, Urdu Ghazal By Turfa Qureshi

Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Turfa Qureshi. Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کس کو آیا خیال میرا یہ میں کسے یاد آ رہا ہوں

طرفہ قریشی

یہ کس کو آیا خیال میرا یہ میں کسے یاد آ رہا ہوں

جگر کی بے تابیوں میں کچھ کچھ سکون سا آج پا رہا ہوں

یہ ماہ و انجم یہ نقرئی شب یہ مسکراہٹ یہ جگمگاہٹ

یہ کس کی الفت کے ہیں کرشمہ کہ ہر طرف حسن پا رہا ہوں

تمہیں مبارک تمہاری محفل یہاں سے اکتا گیا مرا دل

مرے ارادے رہیں سلامت میں اپنی منزل پہ جا رہا ہوں

یہ کنج ہستی یہ موت کا گھر یہ دل کے نغمے نشاط پرور

فنا کی مسند پہ بیٹھ کر بھی حیات کا لطف اٹھا رہا ہوں

تو میری تصویر خانۂ دل کی طرفہ کاری تو دیکھتا جا

یہ کس کی صورت کا عکس لے کر میں اپنی صورت بنا رہا ہوں

یہ کیا خبر دیر ہے کہ کعبہ یہاں تو ہے ابدیت کا سودا

کیا ہے تو نے جہاں اشارہ وہیں سر اپنا جھکا رہا ہوں

یہ شب کا ہیجاں نواز عالم نہ کوئی مونس نہ کوئی ہمدم

تو پھر کسے میں فسانۂ غم سسک سسک کر سنا رہا ہوں

میں اس جگہ ہوں مقیم طرفہؔ قدم قدم پر جہاں ہے فتنہ

مگر خدا ہے مرا محافظ کہ آج تک مسکرا رہا ہوں

طرفہ قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun

Turfa Qureshi

ye kis ko aaya KHayal mera ye main kise yaad aa raha hun
jigar ki be-tabiyon mein kuchh kuchh sukun sa aaj pa raha hun

ye mah-o-anjum ye nuqrai shab ye muskurahaT ye jagmagahaT
ye kis ki ulfat ke hain karishme ki har taraf husn pa raha hun

tumhein mubarak tumhaari mahfil yahan se ukta gaya mera dil
mere irade rahen salamat main apni manzil pe ja raha hun

ye kunj-e-hasti ye maut ka ghar ye dil ke naghme nashat-parwar
fana ki masnad pe baiTh kar bhi hayat ka lutf uTha raha hun

tu meri taswir-e-KHana-e-dil ki turfa-kari to dekhta ja
ye kis ki surat ka aks le kar main apni surat bana raha hun

ye kya KHabar dair hai ki kaba yahan to hai abdiyat ka sauda
kiya hai tu ne jahan ishaara wahin sar apna jhuka raha hun

ye shab ka haijaan-nawaz aalam na koi monis na koi hamdam
to phir kise main fasana-e-gham sisak sisak kar suna raha hun

main us jagah hun muqim 'turfa' qadam qadam par jahan hai fitna
magar KHuda hai mera muhafiz ki aaj tak muskura raha hun

(125) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun written by Turfa Qureshi at UrduPoint. Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun is one of the masterpieces written by Turfa Qureshi. You can also find the complete poetry collection of Turfa Qureshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Turfa Qureshi' above.

Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kis Ko Aaya KHayal Mera Ye Main Kise Yaad Aa Raha Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.