Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul, Urdu Ghazal By Ujjawal Vashishtha

Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ujjawal Vashishtha. Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مبارک ہوں تجھے خیرات کے گل

اجول وششٹھا

مبارک ہوں تجھے خیرات کے گل

کھلیں گے پھر مرے حالات کے گل

کوئی تو جیت کر بھی خوش نہیں ہے

کسی کو بھا رہے ہیں مات کے گل

ابھی جملوں میں ان کے ہے شرارت

ابھی تازہ ہیں کچھ جذبات کے گل

دعا گو ہیں کئی ہنسوں کے جوڑے

کھلا دے یا خدا برسات کے گل

تمہاری خوشبوئیں پہچانتا ہوں

یہ لگتے ہیں تمہارے ہاتھ کے گل

ابھی ہر حکم مانا جا رہا ہے

ابھی تازہ ہیں میری بات کے گل

انہیں کیسے نظر انداز کر دوں

جو تم نے بھیجے ہے سوغات کے گل

اجول وششٹھا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul

Ujjawal Vashishtha

mubarak hon tujhe KHairaat ke gul
khilenge phir mere haalat ke gul

koi to jit kar bhi KHush nahin hai
kisi ko bha rahe hain mat ke gul

abhi jumlon mein un ke hai shararat
abhi taza hain kuchh jazbaat ke gul

dua go hain kai hanson ke joDe
khila de ya KHuda barsat ke gul

tumhaari KHushbuen pahchanta hun
ye lagte hain tumhaare hath ke gul

abhi har hukm mana ja raha hai
abhi taza hain meri baat ke gul

unhen kaise nazar-andaz kar dun
jo tum ne bheje hai saughat ke gul

(176) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul written by Ujjawal Vashishtha at UrduPoint. Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul is one of the masterpieces written by Ujjawal Vashishtha. You can also find the complete poetry collection of Ujjawal Vashishtha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ujjawal Vashishtha' above.

Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mubarak Hon Tujhe KHairaat Ke Gul, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.