Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat, Urdu Ghazal By Ujjawal Vashishtha

Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ujjawal Vashishtha. Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مبارک باد پھولوں کے لیے اور خار پر لعنت

اجول وششٹھا

مبارک باد پھولوں کے لیے اور خار پر لعنت

ارے مالی اصولوں پر ترے کردار پر لعنت

جو حاصل ہے وہی کافی ہے بس میرے گزارے کو

کروں میں شکریہ اس پار کا اس پار پر لعنت

وہ جس کی دید سے آنکھوں کی بینائی چلی جائے

تو اس حسن سراپا کے ہے پھر دیدار پر لعنت

ہمارے زہر نے دیکھو یہاں منظر بدل ڈالے

سپیرے نے کہا اجگر تری پھنکار پر لعنت

حفاظت کر نہیں سکتا ہے جو اپنے قبیلے کی

کوئی کیسے نہیں بھیجے گا اس سردار پر لعنت

کسی مظلوم کی خاطر اگر یہ اٹھ نہیں سکتی

تو ہے پھر زنگ آلود آپ کی تلوار پر لعنت

نہ تو ہی ہے مرے گھر میں نہ ہے تصویر ہی تیری

بھلا کیسے نہ بھیجوں پھر در و دیوار پر لعنت

سمجھ داری سے اپنی ریس جیتی ایک کچھوئے نے

ارے خرگوش تیری چال پر رفتار پر لعنت

اگرچہ سال کے باون دنوں اس سے بچھڑنا ہے

تو پھر ہر اک مہینے کے ہر اک اتوار پر لعنت

اگر لوگوں میں نفرت بانٹنا ہے شاعری تیری

تو اے اجولؔ تری محفل ترے اشعار پر لعنت

اجول وششٹھا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat

Ujjawal Vashishtha

mubarakbaad phulon ke liye aur KHar par lanat
are mali usulon par tere kirdar par lanat

jo hasil hai wahi kafi hai bas mere guzare ko
karun main shukriya is par ka us par par lanat

wo jis ki did se aankhon ki binai chali jae
to us husn-e-sarapa ke hai phir didar par lanat

hamare zahr ne dekho yahan manzar badal Dale
sapere ne kaha ajgar teri phunkar par lanat

hifazat kar nahin sakta hai jo apne qabile ki
koi kaise nahin bhejega us sardar par lanat

kisi mazlum ki KHatir agar ye uTh nahin sakti
to hai phir zang-alud aap ki talwar par lanat

na tu hi hai mere ghar mein na hai taswir hi teri
bhala kaise na bhejun phir dar-o-diwar par lanat

samajhdari se apni race jiti ek kachhue ne
are KHargosh teri chaal par raftar par lanat

agarche sal ke bawan dinon us se bichhaDna hai
to phir har ek mahine ke har ek itwar par lanat

agar logon mein nafrat banTana hai shaeri teri
to ai 'ujjwal' teri mahfil tere ashaar par lanat

(212) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat written by Ujjawal Vashishtha at UrduPoint. Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat is one of the masterpieces written by Ujjawal Vashishtha. You can also find the complete poetry collection of Ujjawal Vashishtha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ujjawal Vashishtha' above.

Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mubarakbaad Phulon Ke Liye Aur Khaar Par Lanat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.