KHamoshi Ka Sahra Hun, Urdu Ghazal By Umar Farhat

KHamoshi Ka Sahra Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Umar Farhat. KHamoshi Ka Sahra Hun comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHamoshi Ka Sahra Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خاموشی کا صحرا ہوں

عمر فرحت

خاموشی کا صحرا ہوں

اس دنیا میں تنہا ہوں

مجھ کو بھی معلوم نہیں

کیسی باتیں کرتا ہوں

یار اذیت لگتی ہے

اشک بہاتا رستا ہوں

یادوں کی اک بوند ہوں میں

اور آنکھوں میں رہتا ہوں

در خود ہی کھل جاتا ہے

میں کب دستک دیتا ہوں

تجھ کو بھی کچھ جلدی ہے

میں بھی جانے والا ہوں

یاد کرو آباد کرو

تیرا گزرا لمحہ ہوں

تہمت کا در باز ہوا

یعنی میں بھی سچا ہوں

پھر سے میرا ہاتھ پکڑ

یعنی گرنے والا ہوں

آنکھیں سرخ تو ہوں گی عمرؔ

خوابوں کا رکھوالا ہوں

عمر فرحت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHamoshi Ka Sahra Hun

Umar Farhat

KHamoshi ka sahra hun
is duniya mein tanha hun

mujh ko bhi malum nahin
kaisi baaten karta hun

yar aziyyat lagti hai
ashk bahata rasta hun

yaadon ki ek bund hun main
aur aankhon mein rahta hun

dar KHud hi khul jata hai
main kab dastak deta hun

tujh ko bhi kuchh jaldi hai
main bhi jaane wala hun

yaad karo aabaad karo
tera guzra lamha hun

tohmat ka dar baz hua
yani main bhi sachcha hun

phir se mera hath pakaD
yani girne wala hun

aankhen surKH to hongi 'umar'
KHwabon ka rakhwala hun

(319) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHamoshi Ka Sahra Hun written by Umar Farhat at UrduPoint. KHamoshi Ka Sahra Hun is one of the masterpieces written by Umar Farhat. You can also find the complete poetry collection of Umar Farhat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Umar Farhat' above.

KHamoshi Ka Sahra Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHamoshi Ka Sahra Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.