Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main, Urdu Ghazal By Vafa Barahi

Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Vafa Barahi. Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پہلے تو جانچتا ہوں تمہاری نظر کو میں

وفا براہی

پہلے تو جانچتا ہوں تمہاری نظر کو میں

پھر دیکھتا ہوں غور سے اپنے جگر کو میں

اب دل کا غم اٹھاؤں کہ روؤں جگر کو میں

مشکوک پا رہا ہوں کسی کی نظر کو میں

سن کر نوائے عشق و محبت کی التجا

لو چھیڑتا ہوں آج رباب اثر کو میں

تیری طرح کروں گا گریباں کو چاک چاک

دیتا ہوں یہ پیام طلوع سحر کو میں

جس رہ گزر پہ عشق کے آنسو ڈھلک پڑے

حسرت سے تک رہا ہوں اسی رہ گزر کو میں

رہبر بنا تھا وادئ غربت میں جو کبھی

منزل پہ ڈھونڈھتا ہوں اسی راہبر کو میں

جس سے حصول عیش و مسرت محال ہے

سنتا ہوں فرط یاس سے ایسی خبر کو میں

مانا کہ اپنے دل پہ مجھے اختیار ہے

لیکن دبا کے رکھ نہ سکوں گا نظر کو میں

اے تیر ناز یار توجہ سے کام لے

بے رنگ پا رہا ہوں نقوش جگر کو میں

دل کے علاوہ اور مرے پاس کچھ نہیں

یہ دے کے بھیجتا ہوں وفاؔ نامہ بر کو میں

وفا براہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main

Vafa Barahi

pahle to jaanchta hun tumhaari nazar ko main
phir dekhta hun ghaur se apne jigar ko main

ab dil ka gham uThaun ki roun jigar ko main
mashkuk pa raha hun kisi ki nazar ko main

sun kar nawa-e-ishq-o-mohabbat ki iltija
lo chheDta hun aaj rabab-e-asar ko main

teri tarah karunga gareban ko chaak-chaak
deta hun ye payam tulu-e-sahar ko main

jis rahguzar pe ishq ke aansu Dhalak paDe
hasrat se tak raha hun usi rahguzar ko main

rahbar bana tha wadi-e-ghurbat mein jo kabhi
manzil pe DhunDhta hun usi rahbar ko main

jis se husul-e-aish-o-masarrat muhaal hai
sunta hun fart-e-yas se aisi KHabar ko main

mana ki apne dil pe mujhe iKHtiyar hai
lekin daba ke rakh na sakunga nazar ko main

ai tir-e-naz-e-yar tawajjoh se kaam le
be-rang pa raha hun nuqush-e-jigar ko main

dil ke alawa aur mere pas kuchh nahin
ye de ke bhejta hun 'wafa' nama-bar ko main

(197) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main written by Vafa Barahi at UrduPoint. Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main is one of the masterpieces written by Vafa Barahi. You can also find the complete poetry collection of Vafa Barahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Vafa Barahi' above.

Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pahle To Jaanchta Hun Tumhaari Nazar Ko Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.