Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui, Urdu Ghazal By Vazahat Nseem

Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Vazahat Nseem. Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گزشتہ وقت کی ہر بات آنی جانی ہوئی

وضاحت نسیم

گزشتہ وقت کی ہر بات آنی جانی ہوئی

یہ بات اگلے سفر کی نئی نشانی ہوئی

لگا کے بیٹھ گئے شرط دست و بازو کی

اگرچہ دل میں ہے پہلے سے ہار مانی ہوئی

جدا کیا ہے اسے آپ ہی تو چپ کیوں ہو

بھلا یہ کون سے جذبے کی ترجمانی ہوئی

اسے پھر اور کسی شعر میں کہا نہ گیا

جو بات آپ سے پچھلے دنوں زبانی ہوئی

سنائے جائیں اگر کوئی سننے والا ہو

کسی کی یاد ہمارے لیے کہانی ہوئی

بدل گیا ہے چلن شہر آرزو کا نسیمؔ

اس عہد نو میں تمہاری وفا پرانی ہوئی

وضاحت نسیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui

Vazahat Nseem

guzishta waqt ki har baat aani jaani hui
ye baat agle safar ki nai nishani hui

laga ke baiTh gae shart dast-o-bazu ki
agarche dil mein hai pahle se haar mani hui

juda kiya hai use aap hi to chup kyon ho
bhala ye kaun se jazbe ki tarjumani hui

use phir aur kisi sher mein kaha na gaya
jo baat aap se pichhle dinon zabani hui

sunae jaen agar koi sunne wala ho
kisi ki yaad hamare liye kahani hui

badal gaya hai chalan shahr-e-arzu ka 'nasim'
is ahd-e-nau mein tumhaari wafa purani hui

(596) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui written by Vazahat Nseem at UrduPoint. Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui is one of the masterpieces written by Vazahat Nseem. You can also find the complete poetry collection of Vazahat Nseem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Vazahat Nseem' above.

Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Guzishta Waqt Ki Har Baat Aani Jaani Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.