Tafsir-e-hayat, Urdu Nazam By Abdul Majeed Bhatti

Tafsir-e-hayat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Abdul Majeed Bhatti. Tafsir-e-hayat comes under the Love, Social category of Urdu Nazam. You can read Tafsir-e-hayat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تفسیر حیات

عبدالمجید بھٹی

دور سے بھاگتے اور بڑھتے چلے آتے ہیں

جذبۂ شوق میں ڈوبے ہوئے سرسبز درخت

راحت روح کا سامان لیے

نغمۂ ساز نظر بکھراتے

میری مشتاق نگاہوں سے ملاتے ہوئے نظریں اپنی

مجھ سے مل مل کے بچھڑ جاتے ہیں

اور پھر دور بہت دور پہنچ کر ایسے

دیکھتے جاتے ہیں مڑ مڑ کے مجھے

جیسے اک تشنگی محسوس کئے جاتے ہیں

ریل اس کیف و نظر سے عاری

اپنی منزل کو اڑی جاتی ہے

اور سرسبز درخت

دھندلے سایوں میں بدلتے ہوئے معدوم ہوئے جاتے ہیں

جیسے میں نے انہیں دیکھا ہی نہ ہو

یوں ہی سایوں میں جھلکتے ہوئے محبوب جمال

صفحۂ دہر کے تابندہ نقوش

چند یادوں میں ڈھلے جاتے ہیں

یہ زمانے کا چلن اور سفر

میرے احباب مجھے دیکھ رہے ہیں گویا

میں بنا جاتا ہوں تفسیر حیات

عبدالمجید بھٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tafsir-e-hayat

Abdul Majeed Bhatti

dur se bhagte aur baDhte chale aate hain
jazba-e-shauq mein Dube hue sarsabz daraKHt
rahat-e-ruh ka saman liye
naghma-e-saz nazar bikhraate
meri mushtaq nigahon se milate hue nazren apni
mujh se mil mil ke bichhaD jate hain
aur phir dur bahut dur pahunch kar aise
dekhte jate hain muD muD ke mujhe
jaise ek tishnagi mahsus kiye jate hain

rail is kaif-o-nazar se aari
apni manzil ko uDi jati hai
aur sarsabz daraKHt
dhundle sayon mein badalte hue madum hue jate hain
jaise main ne unhen dekha hi na ho
yunhi sayon mein jhalakte hue mahbub jamal
safha-e-dahr ke tabinda nuqush
chand yaadon mein Dhale jate hain
ye zamane ka chalan aur safar
mere ahbab mujhe dekh rahe hain goya
main bana jata hun tafsir-e-hayat

(690) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tafsir-e-hayat written by Abdul Majeed Bhatti at UrduPoint. Tafsir-e-hayat is one of the masterpieces written by Abdul Majeed Bhatti. You can also find the complete poetry collection of Abdul Majeed Bhatti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Majeed Bhatti' above.

Tafsir-e-hayat is a widely read Urdu Nazam. If you like Tafsir-e-hayat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.