Wo Jise Dida-wari Kahte Hain, Urdu Ghazal By Abdul Majeed Hairat

Wo Jise Dida-wari Kahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Majeed Hairat. Wo Jise Dida-wari Kahte Hain comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Wo Jise Dida-wari Kahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ جسے دیدہ وری کہتے ہیں

عبدالمجید حیرت

وہ جسے دیدہ وری کہتے ہیں

ہم اسے بے بصری کہتے ہیں

نام اس کا ہے اگر با خبری

پھر کسے بے خبری کہتے ہیں

یہ اگر لطف و کرم ہے تو کسے

جور و بے دادگری کہتے ہیں

کیا اسی کار‌ نظر بندی کو

حسن کی جلوہ گری کہتے ہیں

گل کے اوراق پہ کانٹوں کا گماں

کیا اسے خوش نظری کہتے ہیں

بہر بیمار دوا ہے نہ دعا

کیا اسے چارہ گری کہتے ہیں

کم کسی کو یہ خبر ہے کہ کسے

رنج بے بال و پری کہتے ہیں

یاس و حرماں کو بہ الفاظ دگر

آہ کی بے اثری کہتے ہیں

نام ہے وہ بھی جگر داری کا

ہم جسے بے جگری کہتے ہیں

آپ خود بھی تو گل انداموں کو

حور کہتے ہیں پری کہتے ہیں

فصل گل ہی تو ہے وہ ہم جس کو

موسم جامہ دری کہتے ہیں

عشق میں عین ہنر مندی ہے

سب جسے بے ہنری کہتے ہیں

مفت کی درد سری کو ہم بھی

مفت کی درد سری کہتے ہیں

آپ سے ہم سے بنی ہے نہ بنے

آپ خشکی کو تری کہتے ہیں

کیا کوئی بات کبھی اہل جنوں

از رہ ناموری کہتے ہیں

ہم پہ یہ بھی ہے اک الزام کہ ہم

داستاں درد بھری کہتے ہیں

کوئی خوش ہو کہ خفا ہو حیرتؔ

ہم تو ہر بات کھری کہتے ہیں

عبدالمجید حیرت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Jise Dida-wari Kahte Hain

Abdul Majeed Hairat

wo jise dida-wari kahte hain
hum use be-basari kahte hain

nam us ka hai agar ba-KHabari
phir kise be-KHabari kahte hain

ye agar lutf-o-karam hai to kise
jaur-o-be-dad-gari kahte hain

kya isi kar-e-nazar-bandi ko
husn ki jalwagari kahte hain

gul ke auraq pe kanTon ka guman
kya ise KHush-nazari kahte hain

bahr-e-bimar dawa hai na dua
kya ise chaaragari kahte hain

kam kisi ko ye KHabar hai ki kise
ranj-e-be-baal-o-pari kahte hain

yas-o-hirman ko ba-alfaz-e-digar
aah ki be-asari kahte hain

nam hai wo bhi jigar-dari ka
hum jise be-jigari kahte hain

aap KHud bhi to gul-andamon ko
hur kahte hain pari kahte hain

fasl-e-gul hi to hai wo hum jis ko
mausam-e-jama-dari kahte hain

ishq mein ain hunar-mandi hai
sab jise be-hunari kahte hain

muft ki dard-sari ko hum bhi
muft ki dard-sari kahte hain

aap se hum se bani hai na bane
aap KHushki ko tari kahte hain

kya koi baat kabhi ahl-e-junun
az-rah-e-nam-wari kahte hain

hum pe ye bhi hai ek ilzam ki hum
dastan dard-bhari kahte hain

koi KHush ho ki KHafa ho 'hairat'
hum to har baat khari kahte hain

(741) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Jise Dida-wari Kahte Hain written by Abdul Majeed Hairat at UrduPoint. Wo Jise Dida-wari Kahte Hain is one of the masterpieces written by Abdul Majeed Hairat. You can also find the complete poetry collection of Abdul Majeed Hairat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Majeed Hairat' above.

Wo Jise Dida-wari Kahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Jise Dida-wari Kahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.