Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چلتے ہیں گلشن فردوس میں گھر لیتے ہیں

آغا حجو شرف

چلتے ہیں گلشن فردوس میں گھر لیتے ہیں

طے یہ منزل جو خدا چاہے تو کر لیتے ہیں

عشق کس واسطے کرتے ہیں پری زادوں سے

کس لیے جان پر آفت یہ بشر لیتے ہیں

دیکھنے بھی جو وہ جاتے ہیں کسی گھائل کو

اک نمکداں میں نمک پیس کے بھر لیتے ہیں

خاک اڑ جاتی ہے ستھراو ادھر ہوتا ہے

نیمچا کھینچ کے وہ باگ جدھر لیتے ہیں

میں وہ بیمار ہوں اللہ سے جا کے عیسیٰ

مرے نسخوں کے لیے حکم اثر لیتے ہیں

یار نے لوٹ لیا مجھ وطن آوارہ کو

لوگ غربت میں مسافر کی خبر لیتے ہیں

اس طرف ہیں کہ جھروکے میں ادھر بیٹھے ہیں

جائزہ کشتوں کا اپنے وہ کدھر لیتے ہیں

ٹھیک اس رشک چمن کو وہ قبا ہوتی ہے

ناپ کر جس کی رگ گل سے کمر لیتے ہیں

کچھ ٹھکانا ہے پری زادوں کی بے رحمی کا

عشق بازوں سے قصاص آٹھ پہر لیتے ہیں

یہ نیا ظلم ہے غصہ جو انہیں آتا ہے

بے گناہوں کو بھی ماخوذ وہ کر لیتے ہیں

شہرت اس صید وفادار کی اڑ جاتی ہے

تیر میں جس کے لگانے کو وہ پر لیتے ہیں

کہتے ہیں حوروں کے دل میں ترے کشتوں کے بناؤ

اس لئے خوں میں نہا کر وہ نکھر لیتے ہیں

کس قدر نامہ و پیغام کو ترسایا ہے

بھیجتے ہیں خبر اپنی نہ خبر لیتے ہیں

دم نکلتے ہیں کلیجوں سے لہو جاری ہے

سانس الٹی ترے تفتیدہ جگر لیتے ہیں

چل کھڑے ہوں گے تو ہستی میں نہ پھر ٹھہریں گے

جان جاں چند نفس دم یہ بشر لیتے ہیں

ہے اشارہ یہی مو ہائے مژہ کا ان کی

ہم وہ نشتر ہیں کہ جو خون جگر لیتے ہیں

سامنا کرتے ہیں جس وقت گدا کا تیرے

بادشہ تخت رواں پر سے اتر لیتے ہیں

سکۂ داغ جنوں پاس ہیں رہنا ہشیار

لوگ رستے میں شرفؔ جیب کتر لیتے ہیں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain

Agha Hajju Sharaf

chalte hain gulshan-e-firdaus mein ghar lete hain
tai ye manzil jo KHuda chahe to kar lete hain

ishq kis waste karte hain pari-zadon se
kis liye jaan par aafat ye bashar lete hain

dekhne bhi jo wo jate hain kisi ghael ko
ek namak-dan mein namak pis ke bhar lete hain

KHak uD jati hai suthraw udhar hota hai
nimcha khench ke wo bag jidhar lete hain

main wo bimar hun allah se ja ke isa
mere nusKHon ke liye hukm-e-asar lete hain

yar ne luT liya mujh watan-awara ko
log ghurbat mein musafir ki KHabar lete hain

is taraf hain ki jharoke mein udhar baiThe hain
jaeza kushton ka apne wo kidhar lete hain

Thik us rashk-e-chaman ko wo qaba hoti hai
nap kar jis ki rag-e-gul se kamar lete hain

kuchh Thikana hai pari-zadon ki be-rahmi ka
ishq-bazon se qisas aaTh pahar lete hain

ye naya zulm hai ghussa jo unhen aata hai
be-gunahon ko bhi maKHuz wo kar lete hain

shohrat us said-e-wafadar ki uD jati hai
tir mein jis ke lagane ko wo par lete hain

kahte hain huron ke dil mein tere kushton ke banaw
is liye KHun mein naha kar wo nikhar lete hain

kis qadar nama-o-paigham ko tarsaya hai
bhejte hain KHabar apni na KHabar lete hain

dam nikalte hain kalejon se lahu jari hai
sans ulTi tere taftida-jigar lete hain

chal khaDe honge to hasti main na phir Thahrenge
jaan-e-jaan chand nafas dam ye bashar lete hain

hai ishaara yahi mu-ha-e-mizha ka un ki
hum wo nashtar hain ki jo KHun-e-jigar lete hain

samna karte hain jis waqt gada ka tere
baadshah taKHt-e-rawan par se utar lete hain

sikka-e-dagh-e-junun pas hain rahna hoshyar
log raste mein 'sharaf' jeb katar lete hain

(632) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.