Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چاہئیں مجھ کو نہیں زریں قفس کی پتلیاں

آغا حجو شرف

چاہئیں مجھ کو نہیں زریں قفس کی پتلیاں

آشیاں جانوں جو ہوویں خار و خس کی پتلیاں

ہو گئیں بے رنگ جب اگلے برس کی پتلیاں

خون رو کر ہم نے کیں رنگیں قفس کی پتلیاں

ہے یہ فولادی قفس مجھ ناتواں کا کیا کروں

کس طرح توڑوں نہیں ہیں میرے بس کی پتلیاں

کیا خدا کی شان ہے آتی ہے جب فصل بہار

سب ہری ہو جاتی ہیں میرے قفس کی پتلیاں

جب کبھی کنج قفس میں کی ہے میں نے آہ گرم

موم ہو کر بہہ گئی ہیں پیش و پس کی پتلیاں

گھر قفس کو میں سمجھتا ہوں اسیری کو مراد

جانتا ہوں اپنی آہوں کو ہوس کی پتلیاں

پٹریاں میرے قفس کی شاخ گل سے کم نہیں

لوچ یہ دیکھا نہ دیکھیں ایسی رس کی پتلیاں

گونجنے لگتا ہے یہ بھی جب فغاں کرتا ہوں میں

نصب ہیں میرے قفس میں کیا جرس کی پتلیاں

دیکھیے شوق اسیری میں جکڑنے کے لئے

ہو گئیں ریشم کا لچھا سب قفس کی پتلیاں

رو رہی ہے دیکھ کر لیلیٰ جو اس کو اے شرفؔ

پسلیاں مجنوں کی ہیں میرے قفس کی پتلیاں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan

Agha Hajju Sharaf

chahiyen mujh ko nahin zarrin qafas ki putliyan
aashiyan jaanun jo howen KHar-o-KHas ki putliyan

ho gain be-rang jab agle baras ki putliyan
KHun ro kar hum ne kin rangin qafas ki putliyan

hai ye fauladi qafas mujh na-tawan ka kya karun
kis tarah toDun nahin hain mere bas ki putliyan

kya KHuda ki shan hai aati hai jab fasl-e-bahaar
sab hari ho jati hain mere qafas ki putliyan

jab kabhi kunj-e-qafas mein ki hai main ne aah-e-garm
mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyan

ghar qafas ko main samajhta hun asiri ko murad
jaanta hun apni aahon ko hawas ki putliyan

paTriyan mere qafas ki shaKH-e-gul se kam nahin
loch ye dekha na dekhin aisi ras ki putliyan

gunjne lagta hai ye bhi jab fughan karta hun main
nasb hain mere qafas mein kya jaras ki putliyan

dekhiye shauq-e-asiri mein jakaDne ke liye
ho gain resham ka lachha sab qafas ki putliyan

ro rahi hai dekh kar laila jo us ko ai 'sharaf'
pasliyan majnun ki hain mere qafas ki putliyan

(518) ووٹ وصول ہوئے

You can read Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.