BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai, Urdu Ghazal By Ahmad Azeem

BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Azeem. BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بچھڑ کے دونوں کے ذہنوں پہ بوجھ پڑتا ہے

احمد عظیم

بچھڑ کے دونوں کے ذہنوں پہ بوجھ پڑتا ہے

رہیں جو ساتھ تو آنکھوں پہ بوجھ پڑتا ہے

پھلوں کے ہونے سے شاخیں فقط لچکتی ہیں

پھلوں کے گرنے سے شاخوں پہ بوجھ پڑتا ہے

تمہارے ذکر کی عادت ہوئی ہے ایسی انہیں

کچھ اور بولیں تو ہونٹوں پہ بوجھ پڑتا ہے

بس ایک چہرے کو سپنے میں دیکھنے کے لئے

تمام عمر کی نیندوں پہ بوجھ پڑتا ہے

عظیمؔ دور کے رشتوں کو دور رکھا کر

وگرنہ پاس کے رشتوں پہ بوجھ پڑتا ہے

احمد عظیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai

Ahmad Azeem

bichhaD ke donon ke zehnon pe bojh paDta hai
rahen jo sath to aankhon pe bojh paDta hai

phalon ke hone se shaKHen faqat lachakti hain
phalon ke girne se shaKHon pe bojh paDta hai

tumhaare zikr ki aadat hui hai aisi inhen
kuchh aur bolen to honTon pe bojh paDta hai

bas ek chehre ko sapne mein dekhne ke liye
tamam umr ki nindon pe bojh paDta hai

'azim' dur ke rishton ko dur rakkha kar
wagarna pas ke rishton pe bojh paDta hai

(809) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai written by Ahmad Azeem at UrduPoint. BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai is one of the masterpieces written by Ahmad Azeem. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Azeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Azeem' above.

BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like BichhaD Ke Donon Ke Zehnon Pe Bojh PaDta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.