Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum, Urdu Ghazal By Ahmad Shah Khan Shabnam

Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Shah Khan Shabnam. Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جوش جنوں میں نکلے ہیں جب اپنے گھر سے ہم

احمد شاہ خاں شبنم

جوش جنوں میں نکلے ہیں جب اپنے گھر سے ہم

مل مل کے خوب روئے ہیں دیوار و در سے ہم

تقدیر کا لکھا نہ مٹے گا کسی طرح

رگڑیں ہزار سر کو ترے سنگ در سے ہم

اچھی کہی کہ وصل میں ہم سے نہ بولئے

باتیں کریں گے آج بھی دیوار و در سے ہم

الفت رقیب کی نہ چھپے گی کسی طرح

اے جان تاڑ لیں گے تمہاری نظر سے ہم

چلنے کو چلتے ہیں مگر اے بانیٔ فساد

زندہ نہ پھر کے آئیں گے دشمن کے گھر سے ہم

پھوٹے ہوئے نصیب کی یہ بھی ہیں گردشیں

سر پھوڑتے جو پھرتے ہیں دیوار و در سے ہم

دن ہو گیا تمام نہ مطلب ہوا تمام

لکھتے ہیں نامہ یار کو بیٹھے سحر سے ہم

دیکھو جو آنکھ اٹھا کے تو جھنجھلا کے کہتے ہیں

تنگ آئے بہت ہی ہیں بڑوں کی نظر سے ہم

یہ رشک ہے کہ یار سے باتیں کرے گا یہ

لڑتے ہیں بات بات پہ پیغامبر سے ہم

دیکھیں گے کتنی اپنی مقدر میں ہے کجی

اک دن ملائیں گے تری ترچھی نظر سے ہم

شاید ترے حضور میں پہنچا دے خط شوق

پیدا کریں گے ربط ترے نامہ بر سے ہم

دکھلائیں گے کبھی اثر آہ آتشیں

سمجھیں گے ایک دن فلک فتنہ گر سے ہم

بہلا رہے ہیں دل شب تنہائیٔ فراق

پہروں سے باتیں کرتے ہیں دیوار و در سے ہم

وحشت یہ چاہتی ہے کہ صحرا کی سیر ہو

دل چاہتا ہے مر کے اٹھیں اس کے در سے ہم

شبنمؔ کی کچھ خبر نہیں کس حال میں ہے اب

پوچھیں گے ایک روز نسیم سحر سے ہم

احمد شاہ خاں شبنم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum

Ahmad Shah Khan Shabnam

josh-e-junun mein nikle hain jab apne ghar se hum
mil mil ke KHub roe hain diwar-o-dar se hum

taqdir ka likha na miTega kisi tarah
ragDen hazar sar ko tere sang-e-dar se hum

achchhi kahi ki wasl mein hum se na boliye
baaten karenge aaj bhi diwar-o-dar se hum

ulfat raqib ki na chhupegi kisi tarah
ai jaan taD lenge tumhaari nazar se hum

chalne ko chalte hain magar ai bani-e-fasad
zinda na phir ke aaenge dushman ke ghar se hum

phuTe hue nasib ki ye bhi hain gardishen
sar phoDte jo phirte hain diwar-o-dar se hum

din ho gaya tamam na matlab hua tamam
likhte hain nama yar ko baiThe sahar se hum

dekho jo aankh uTha ke to jhunjhla ke kahte hain
tang aae bahut hi hain baDon ki nazar se hum

ye rashk hai ki yar se baaten karega ye
laDte hain baat baat pe paighambar se hum

dekhenge kitni apni muqaddar mein hai kaji
ek din milaenge teri tirchhi nazar se hum

shayad tere huzur mein pahuncha de KHatt-e-shauq
paida karenge rabt tere nama-bar se hum

dikhlaenge kabhi asar-e-ah-e-atishin
samjhenge ek din falak-e-fitna-gar se hum

bahla rahe hain dil shab-e-tanhai-e-firaq
pahron se baaten karte hain diwar-o-dar se hum

wahshat ye chahti hai ki sahra ki sair ho
dil chahta hai mar ke uThen us ke dar se hum

'shabnam' ki kuchh KHabar nahin kis haal mein hai ab
puchhenge ek roz nasim-e-sahar se hum

(399) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum written by Ahmad Shah Khan Shabnam at UrduPoint. Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum is one of the masterpieces written by Ahmad Shah Khan Shabnam. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Shah Khan Shabnam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Shah Khan Shabnam' above.

Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Josh-e-junun Mein Nikle Hain Jab Apne Ghar Se Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.