Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai, Urdu Ghazal By Ahsan Marahravi

Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahsan Marahravi. Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کشش حسن کی یہ انجمن آرائی ہے

احسن مارہروی

کشش حسن کی یہ انجمن آرائی ہے

ساری دنیا ترے کوچے میں سمٹ آئی ہے

درد نے کھوے ہوئے دل کی جگہ پائی ہے

اک بلا سر سے گئی ایک بلا آئی ہے

جاں نثاروں کو سہارا جو نہ جینے کا ملا

کوئے قاتل میں قضا کھینچ کے لے آئی ہے

میں چھپاتا ہوں غم عشق تو بنتا نہیں کام

اور کہتا ہوں تو گویا مری رسوائی ہے

جگر و دل میں ترازو نہ ہو کیوں ناوک ناز

اس کو دونوں سے برابر کی شناسائی ہے

دل یہ کہتا ہے وہاں جا کے سنبھل جاؤں گا

میں یہ کہتا ہوں کہ بد بخت کی موت آئی ہے

بن کے ناصح وہ یہ کہتے ہیں محبت نہ کرو

مجھ کو مرنے نہیں دیتے یہ مسیحائی ہے

سب جسے داغ دل و زخم جگر کہتے ہیں

وہ مرے ناخن غم کی چمن آرائی ہے

کیا ہے دنیا میں نمود اور نمائش کے سوا

زندگی ہم کو تماشے کے لیے لائی ہے

عشق رسوا کن عالم وہ ہے احسنؔ جس سے

نیک ناموں کی بھی بد نامی و رسوائی ہے

احسن مارہروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai

Ahsan Marahravi

kashish-e-husn ki ye anjuman-arai hai
sari duniya tere kuche mein simaT aai hai

dard ne khoe hue dil ki jagah pai hai
ek bala sar se gai ek bala aai hai

jaan nisaron ko sahaara jo na jine ka mila
ku-e-qatil mein qaza khinch ke le aai hai

main chhupata hun gham-e-ishq to banta nahin kaam
aur kahta hun to goya meri ruswai hai

jigar o dil mein taraazu na ho kyun nawak-e-naz
is ko donon se barabar ki shanasai hai

dil ye kahta hai wahan ja ke sambhal jaunga
main ye kahta hun ki bad-baKHt ki maut aai hai

ban ke naseh wo ye kahte hain mohabbat na karo
mujh ko marne nahin dete ye masihai hai

sab jise dagh-e-dil o zaKHm-e-jigar kahte hain
wo mere naKHun-e-gham ki chaman-arai hai

kya hai duniya mein numud aur numaish ke siwa
zindagi hum ko tamashe ke liye lai hai

ishq ruswa-kun-e-alam wo hai 'ahsan' jis se
nek-namon ki bhi bad-nami o ruswai hai

(691) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai written by Ahsan Marahravi at UrduPoint. Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai is one of the masterpieces written by Ahsan Marahravi. You can also find the complete poetry collection of Ahsan Marahravi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahsan Marahravi' above.

Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kashish-e-husn Ki Ye Anjuman-arai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.