Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai, Urdu Ghazal By Ajmal Siddiqui

Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ajmal Siddiqui. Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کھل کے برسنا اور برس کر پھر کھل جانا دیکھا ہے

اجمل صدیقی

کھل کے برسنا اور برس کر پھر کھل جانا دیکھا ہے

ہم سے پوچھو!! ان آنکھوں کا ایک زمانہ دیکھا ہے

تم نے کیسے مان لیا وہ تھک کر بیٹھ گیا ہوگا

تم نے تو خود اپنی آنکھوں سے وہ دیوانا دیکھا ہے

منزل تک پہنچیں کہ نہ پہنچیں راہ مگر اپنی ہوگی

تو رہنے دے واعظ تیرا راہ بتانا دیکھا ہے

دھول کا اک ذرہ نہ اڑے آواز کرے پرچھائیں بھی

موت بھی آ کر مرتی نہیں تھی وہ ویرانہ دیکھا ہے

گلشن سے ہم سیکھ نہ پائے وقتی خوشیوں کو جینا

جبکہ ہم نے فصل گل کا آنا جانا دیکھا ہے

دل تو سادہ ہے تیری ہر بات کو سچا مانتا ہے

عقل نے باتیں کرتے تیرا آنکھ چرانا دیکھا ہے

لفظ دوا ہے لیکن اس کے ساتھ ہی کچھ پرہیز بھی ہے

لفظ کے باعث پل میں کھونا پل میں پانا دیکھا ہے

اجمل صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai

Ajmal Siddiqui

khul ke barasna aur baras kar phir khul jaana dekha hai
hum se puchho!! un aankhon ka ek zamana dekha hai

tum ne kaise man liya wo thak kar baiTh gaya hoga
tum ne to KHud apni aankhon se wo diwana dekha hai

manzil tak pahunchen ki na pahunchen rah magar apni hogi
tu rahne de waiz tera rah batana dekha hai

dhul ka ek zarra na uDe aawaz kare parchhain bhi
maut bhi aa kar marti nahin thi wo virana dekha hai

gulshan se hum sikh na pae waqti KHushiyon ko jina
jabki hum ne fasl-e-gul ka aana jaana dekha hai

dil to sada hai teri har baat ko sachcha manta hai
aql ne baaten karte tera aankh churana dekha hai

lafz dawa hai lekin is ke sath hi kuchh parhez bhi hai
lafz ke bais pal mein khona pal mein pana dekha hai

(807) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai written by Ajmal Siddiqui at UrduPoint. Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai is one of the masterpieces written by Ajmal Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Ajmal Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ajmal Siddiqui' above.

Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Khul Ke Barasna Aur Baras Kar Phir Khul Jaana Dekha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.