Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai, Urdu Ghazal By Akhtar Azad

Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Azad. Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تاروں کی اترتی ہے ڈولی اور چاندنی دلہن ہوتی ہے

اختر آزاد

تاروں کی اترتی ہے ڈولی اور چاندنی دلہن ہوتی ہے

جس رات میں دو دل ملتے ہیں وہ رات سہاگن ہوتی ہے

جب دل سے دل مل جاتے ہیں تو کیا کیا گل کھل جاتے ہیں

کچھ غیر گلے لگ جاتے ہیں کچھ اپنوں سے ان بن ہوتی ہے

جلتے ہیں جہاں والے لو جلیں ہم راہ وفا میں ساتھ چلیں

دنیا کو چھوڑو دنیا تو دل والوں کی دشمن ہوتی ہے

صورت مری آنکھوں میں دیکھو کیا دیکھ رہے ہو آئینہ

جس آنکھ میں کوئی بس جائے وہ آنکھ بھی درپن ہوتی ہے

بس ان کے لئے ہی رات اور دن دل میرا دھڑکتا ہے لیکن

جب سامنے وہ آ جاتے ہیں تیز اور بھی دھڑکن ہوتی ہے

تم بن یہ بہاروں کا موسم لگتا ہے مجھے پت جھڑ کی طرح

تم ساتھ رہو تو ہر اک رت میرے لئے ساون ہوتی ہے

تصویر ہو تیری جب دل میں غم دل کے قریب آئے کیسے

میں یاد تجھے کر لیتا ہوں جب کوئی بھی الجھن ہوئی ہے

نکھرے تو بنے اک تاج محل پھیلے تو خوشبو اور غزل

لیکن جو سمٹتی ہے چاہت محبوب کا دامن ہوتی ہے

اختر آزاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai

Akhtar Azad

taron ki utarti hai Doli aur chandni dulhan hoti hai
jis raat mein do dil milte hain wo raat suhagan hoti hai

jab dil se dil mil jate hain to kya kya gul khil jate hain
kuchh ghair gale lag jate hain kuchh apnon se an-ban hoti hai

jalte hain jahan wale lo jalen hum rah-e-wafa mein sath chalen
duniya ko chhoDo duniya to dil walon ki dushman hoti hai

surat meri aankhon mein dekho kya dekh rahe ho aaina
jis aankh mein koi bas jae wo aankh bhi darpan hoti hai

bas un ke liye hi raat aur din dil mera dhaDakta hai lekin
jab samne wo aa jate hain tez aur bhi dhaDkan hoti hai

tum bin ye bahaaron ka mausam lagta hai mujhe patjhaD ki tarah
tum sath raho to har ek rut mere liye sawan hoti hai

taswir ho teri jab dil mein gham dil ke qarib aae kaise
main yaad tujhe kar leta hun jab koi bhi uljhan hui hai

nikhre to bane ek taj-mahal phaile to KHushbu aur ghazal
lekin jo simaTti hai chahat mahbub ka daman hoti hai

(814) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai written by Akhtar Azad at UrduPoint. Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai is one of the masterpieces written by Akhtar Azad. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Azad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Azad' above.

Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Taron Ki Utarti Hai Doli Aur Chandni Dulhan Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.