Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha, Urdu Ghazal By Akhtar Jameel Nazmi

Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Jameel Nazmi. Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مسلسل چلا رہ گزر میں رہا

اختر جمیل نظمی

مسلسل چلا رہ گزر میں رہا

مرا آب و دانہ سفر میں رہا

میں اپنی گھٹن اپنے دل میں لئے

ہمیشہ ہوا دار گھر میں رہا

نظر سے کئی لوگ گزرے مگر

وہی ایک چہرہ نظر میں رہا

مجھے بھی خوشی ڈھونڈنے آئی تھی

مگر ان دنوں میں سفر میں رہا

کسی پر توجہ کسی نے نہ دی

مرا عیب سب کی نظر میں رہا

مجھے خود بھی حیرت ہے اس بات پر

سکوں سے بہت شور و شر میں رہا

گزاری ہے نظمیؔ عجب زندگی

میں باہر رہا ہوں نہ گھر میں رہا

اختر جمیل نظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha

Akhtar Jameel Nazmi

musalsal chala rahguzar mein raha
mera aab-o-dana safar mein raha

main apni ghuTan apne dil mein liye
hamesha hawa-dar ghar mein raha

nazar se kai log guzre magar
wahi ek chehra nazar mein raha

mujhe bhi KHushi DhunDne aai thi
magar un dinon main safar mein raha

kisi par tawajjoh kisi ne na di
mera aib sab ki nazar mein raha

mujhe KHud bhi hairat hai is baat par
sukun se bahut shor-o-shar mein raha

guzari hai 'nazmi' ajab zindagi
main bahar raha hun na ghar mein raha

(1014) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha written by Akhtar Jameel Nazmi at UrduPoint. Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha is one of the masterpieces written by Akhtar Jameel Nazmi. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Jameel Nazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Jameel Nazmi' above.

Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Musalsal Chala Rahguzar Mein Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.