Pas Ke Shahr Mein Fasad, Urdu Nazam By Akhtar Yusuf

Pas Ke Shahr Mein Fasad is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Akhtar Yusuf. Pas Ke Shahr Mein Fasad comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Pas Ke Shahr Mein Fasad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پاس کے شہر میں فساد

ختر یوسف

پاس کے شہر سے کرفیو کی بے آواز چاپ

دھیرے دھیرے

مرے شہر کی گلیوں اور چوراہوں تک آ پہنچی ہے

رات کی طرح خوف پھیلا ہے

دروازے کھڑکیاں چپ

کتے بھی چپ

ہراساں دور دور تک سڑکوں کو تکتے ہیں

پھر روتے ہیں

پاس کے شہر میں نعرے ابھرتے ہیں

ایک ہی ساتھ جیسے ڈھیر سارے بکروں کی گردنوں پہ

دھار دار چاقو تیرتے ہیں

پیڑوں پہ چاندنی ستمبر کی سہمی ہے

تنہا پرندے کے ہیرا جیسے دل میں بلے کی لہو لہو آنکھ ڈوب کر ابھرتی

سناٹا زمیں کا آکاش سے جا ملا ہے

گھوڑوں کی آگ اگاتی ٹاپ پاس کے شہر میں اور

اپنے شہر میں آ گیا بیتال پٹرول پمپوں کے پاس کھڑا ہے

رات کی طرف خوف پھیلا ہے سانکل ہلاتا ہے

چاندنی ستمبر کی پیڑوں پہ روتی ہے

بلے کی لہو لہو آنکھ اور پرندہ

بیچارہ

ختر یوسف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pas Ke Shahr Mein Fasad

Akhtar Yusuf

pas ke shahr se curfew ki be-awaz chap
dhire dhire
mere shahr ki galiyon aur chaurahon tak aa pahunchi hai
raat ki tarah KHauf phaila hai
darwaze khiDkiyan chup
kutte bhi chup
hirasan dur dur tak saDkon ko takte hain
phir rote hain
pas ke shahr mein nare ubharte hain
ek hi sath jaise Dher sare bakron ki gardanon pe
dhaar-dar chaqu tairte hain
peDon pe chandni september ki sahmi hai
tanha parinde ke hira jaise dil mein bille ki lahu lahu aankh Dub kar ubharti
sannaTa zamin ka aakash se ja mila hai
ghoDon ki aag ugati Top pas ke shahr mein aur
apne shahr mein aa gaya betal petrol-pumpon ke pas khaDa hai
raat ki taraf KHauf phaila hai sankal hilata hai
chandni september ki peDon pe roti hai
bille ki lahu lahu aankh aur parinda
bechaara

(592) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pas Ke Shahr Mein Fasad written by Akhtar Yusuf at UrduPoint. Pas Ke Shahr Mein Fasad is one of the masterpieces written by Akhtar Yusuf. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Yusuf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Yusuf' above.

Pas Ke Shahr Mein Fasad is a widely read Urdu Nazam. If you like Pas Ke Shahr Mein Fasad, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.