Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe, Urdu Ghazal By Aleem Afsar

Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aleem Afsar. Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرنا پڑا تھا جس کے لئے یہ سفر مجھے

علیم افسر

کرنا پڑا تھا جس کے لئے یہ سفر مجھے

وہ موج شوق چھوڑ گئی ریت پر مجھے

آداب بزم کے سوا کچھ اور تو نہ تھا

محفل میں اس نے پان دیے خاص کر مجھے

لوٹا ہوں پھر وہ جسم کی ویرانیاں لئے

حسرت سے دیکھتے ہیں یہ دیوار و در مجھے

بازار کا تو ہوش ہے لیکن نہیں یہ یاد

کل رات کون چھوڑ گیا میرے گھر مجھے

آنکھوں کا نور سینے میں محفوظ کر لیا

اس شہر میں جو ہونا پڑا بے بصر مجھے

اس کے سوا یہ راز بھلا کون جانتا

وہ سب کو گالیوں سے نوازے مگر مجھے

علیم افسر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe

Aleem Afsar

karna paDa tha jis ke liye ye safar mujhe
wo mauj-e-shauq chhoD gai ret par mujhe

aadab-e-bazm ke siwa kuchh aur to na tha
mahfil mein us ne pan diye KHas kar mujhe

lauTa hun phir wo jism ki viraniyan liye
hasrat se dekhte hain ye diwar-o-dar mujhe

bazar ka to hosh hai lekin nahin ye yaad
kal raat kaun chhoD gaya mere ghar mujhe

aaankhon ka nur sine mein mahfuz kar liya
is shahr mein jo hona paDa be-basar mujhe

is ke siwa ye raaz bhala kaun jaanta
wo sab ko galiyon se nawaze magar mujhe

(556) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe written by Aleem Afsar at UrduPoint. Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe is one of the masterpieces written by Aleem Afsar. You can also find the complete poetry collection of Aleem Afsar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aleem Afsar' above.

Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karna PaDa Tha Jis Ke Liye Ye Safar Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.