TaKHliq-e-majazi, Urdu Nazam By Ali Minai

TaKHliq-e-majazi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ali Minai. TaKHliq-e-majazi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read TaKHliq-e-majazi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تخلیق مجازی

علی مینائی

یہ داستاں کا سیہ سمندر

کہ جس کی موجیں مری صدا ہیں

جو میرے اندر

ازل کی سب خامشی سمیٹے

ابد کی ہر تیرگی چھپائے

دھڑک رہا ہے

وہی خموشی جو حرف کا اصل ذائقہ ہے

وہی اندھیرا جو ہر اجالے کی ابتدا ہے

یہ روح نغمہ یہ ساز ہستی

یہی حقیقت یہی گماں ہے

اسی سے میرا وجود ممکن

اسی سے تشکیل دو جہاں ہے

میں اس مقدس گھنے سمندر سے قطرہ قطرہ

نئے فسانے نکالتا ہوں

میں اس کے گمبھیر پانیوں کو

گماں کے پیکر میں ڈھالتا ہوں

مگر یہ سیال صورتیں جو

مآل ہیں میری کوششوں کا

میں ان کو پہچانتا نہیں ہوں

کہاں سے ابھرے ہیں نقش ان کے

یہ راز میں جانتا نہیں ہوں

ہوں خالق کائنات لیکن

خدا نہیں ہوں

علی مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

TaKHliq-e-majazi

Ali Minai

ye dastan ka siyah samundar
ki jis ki maujen meri sada hain
jo mere andar
azal ki sab KHamushi sameTe
abad ki har tirgi chhupae
dhaDak raha hai
wahi KHamoshi jo harf ka asl zaiqa hai
wahi andhera jo har ujale ki ibtida hai
ye ruh-e-naghma ye saz-e-hasti
yahi haqiqat yahi guman hai
isi se mera wajud mumkin
isi se tashkil-e-do-jahan hai
main is muqaddas ghane samundar se qatra qatra
nae fasane nikalta hun
main is ke gambhir paniyon ko
guman ke paikar mein Dhaalta hun
magar ye sayyal suraten jo
maal hain meri koshishon ka
main in ko pahchanta nahin hun
kahan se ubhre hain naqsh in ke
ye raaz main jaanta nahin hun
hun KHaliq-e-kaenat lekin
KHuda nahin hun

(597) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read TaKHliq-e-majazi written by Ali Minai at UrduPoint. TaKHliq-e-majazi is one of the masterpieces written by Ali Minai. You can also find the complete poetry collection of Ali Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ali Minai' above.

TaKHliq-e-majazi is a widely read Urdu Nazam. If you like TaKHliq-e-majazi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.