Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein, Urdu Nazam By Ali Minai

Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ali Minai. Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اور بھی غم ہیں زمانے میں

علی مینائی

اے مری جاں مجھے اس درجہ شکایت سے نہ دیکھ

آج تک میں نے ترے حسن کی باتیں کی ہیں

دن گزارے ہیں ترے غم کے سہارے اکثر

تیری یادوں سے چراغاں کئی راتیں کی ہیں

تیری خوشبو سے مہکتی ہیں فضائیں دل کی

خامشی ہے تری آواز کا آہنگ لئے

جو حسیں شے ہے مری آنکھ کے آئینے میں

تیری شوخی تری رعنائی ترا رنگ لئے

میرے ہر شعر میں آہٹ ہے ترے قدموں کی

میرے ہر نقش میں پنہاں ہے ترا عکس شباب

آج لیکن مری جاں حال دل زار نہ پوچھ

آج کی رات مری آنکھ میں کچھ اور ہیں خواب

تجھ کو معلوم ہے کس طرح تری الفت میں

میں نے ہر درد ہر اک رنج بھلا رکھا تھا

اک طرف ہٹ کے شب و روز کے ہنگاموں سے

تیرے جلووں کا پری خانہ سجا رکھا تھا

بھول کر غم کدۂ زیست کی تاریکی کو

نور امید سے شاموں کو جلا رکھا تھا

کہیں دامن میں لئے پھرتا تھا خورشید کو ساتھ

آستیں میں کہیں مہتاب چھپا رکھا تھا

لیکن اے جان وفا جان طرب جان امید

دل پہ اک درد پر آشوب کی یلغار ہے آج

خرمن حرف و نوا کو ہے بچانا مشکل

بے اماں شعلۂ بیتابئ اظہار ہے آج

ہر اندھیرے کو تمنا ہے سلگ اٹھنے کی

ہر خموشی کو صدا بننے پہ اصرار ہے آج

ہر نفس میں ہے مرے دھار کسی خنجر کی

ہر قدم میں مرے زنجیر کی جھنکار ہے آج

آج اک اور ہی عالم ہے مری نظروں میں

جس کا ہر ذرہ ہے واماندگیٔ غم سے نڈھال

جس کے تاریک خرابوں میں ہیں برباد وہ لوگ

جن کو الفت کا ہے یارا نہ مسرت کی مجال

جن کی آنکھوں میں فقط ظلمت فردا کے ہیں خواب

جن کے چہروں پہ فقط سایۂ اندوہ و ملال

آج کی شب کوئی افسانۂ دل کش مت چھیڑ

میری آنکھوں کو یوں ہی اشک فشاں رہنے دے

میرے سپنے میں دہکنے دے یہی غم کا الاؤ

میرے چہرے پہ اداسی کا دھواں رہنے دے

کل وہی نغمہ جگا لوں گا لبوں پر اپنے

آج کی رات مجھے محو فغاں رہنے دے

تجھ کو معلوم ہے کچھ اے مری خوشیوں کی رفیق

غم دوراں مری تنہائی سے کیا کہتا ہے

جن حسیں لمحوں سے ہم بنتے ہیں خوشیاں اپنی

ان میں کتنوں کی تمناؤں کا خوں بہتا ہے

لاکھ بہلاؤں میں دل کو تری الفت سے مگر

سایہ اک میرے تبسم میں بسا رہتا ہے

آج کی رات اسی سایۂ بے نام کے نام

آج کی رات فقط نالۂ ماتم ہی سہی

گل پژمردہ پہ چپ-چاپ لٹانے کے لئے

کیسۂ چشم میں سرمایۂ شبنم ہی سہی

اور بھی غم ہیں زمانے میں محبت کے سوا

آج کی شب مجھے کرنے دے ذرا ان کا حساب

اے مری جاں مجھے اس درجہ شکایت سے نہ دیکھ

آج کی رات مری آنکھ میں کچھ اور ہیں خواب

علی مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein

Ali Minai

ai meri jaan mujhe is darja shikayat se na dekh
aaj tak main ne tere husn ki baaten ki hain
din guzare hain tere gham ke sahaare aksar
teri yaadon se charaghan kai raaten ki hain

teri KHushbu se mahakti hain fazaen dil ki
KHamushi hai teri aawaz ka aahang liye
jo hasin shai hai meri aankh ke aaine mein
teri shoKHi teri ranai tera rang liye
mere har sher mein aahaT hai tere qadmon ki
mere har naqsh mein pinhan hai tera aks-e-shabab
aaj lekin meri jaan haal-e-dil-e-zar na puchh
aaj ki raat meri aankh mein kuchh aur hain KHwab

tujh ko malum hai kis tarah teri ulfat mein
main ne har dard har ek ranj bhula rakkha tha
ek taraf haT ke shab-o-roz ke hangamon se
tere jalwon ka pari-KHana saja rakkha tha
bhul kar gham-kada-e-zist ki tariki ko
nur-e-ummid se shamon ko jala rakha tha
kahin daman mein liye phirta tha KHurshid ko sath
aastin mein kahin mahtab chhupa rakha tha

lekin ai jaan-e-wafa jaan-e-tarab jaan-e-umid
dil pe ek dard-e-pur-ashob ki yalghaar hai aaj
KHirman-e-harf-o-nawa ko hai bachana mushkil
be-aman shoala-e-betabi-e-izhaar hai aaj
har andhere ko tamanna hai sulag uThne ki
har KHamoshi ko sada banne pe israr hai aaj
har-nafas mein hai mere dhaar kisi KHanjar ki
har qadam mein mere zanjir ki jhankar hai aaj

aaj ek aur hi aalam hai meri nazron mein
jis ka har zarra hai wamandgi-e-gham se niDhaal
jis ke tarik KHarabon mein hain barbaad wo log
jin ko ulfat ka hai yara na masarrat ki majal
jin ki aankhon mein faqat zulmat-e-farda ke hain KHwab
jin ke chehron pe faqat saya-e-andoh-o-malal

aaj ki shab koi afsana-e-dilkash mat chheD
meri aankhon ko yunhi ashk-fishan rahne de
mere sapne mein dahakne de yahi gham ka alaw
mere chehre pe udasi ka dhuan rahne de
kal wahi naghma jaga lunga labon par apne
aaj ki raat mujhe mahw-e-fughan rahne de

tujh ko malum hai kuchh ai meri KHushiyon ki rafiq
gham-e-dauran meri tanhai se kya kahta hai
jin hasin lamhon se hum bunte hain KHushiyan apni
in mein kitnon ki tamannaon ka KHun bahta hai

lakh bahlaun main dil ko teri ulfat se magar
saya ek mere tabassum mein basa rahta hai
aaj ki raat isi saya-e-be-nam ke nam
aaj ki raat faqat nala-e-matam hi sahi
gul-e-pazhmurda pe chup-chap luTane ke liye
kisa-e-chashm mein sarmaya-e-shabnam hi sahi
aur bhi gham hain zamane mein mohabbat ke siwa
aaj ki shab mujhe karne de zara un ka hisab
ai meri jaan mujhe is darja shikayat se na dekh
aaj ki raat meri aankh mein kuchh aur hain KHwab

(979) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein written by Ali Minai at UrduPoint. Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein is one of the masterpieces written by Ali Minai. You can also find the complete poetry collection of Ali Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ali Minai' above.

Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.