Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai, Urdu Ghazal By Ameen Rahat Chugtai

Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameen Rahat Chugtai. Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیرگی ہی تیرگی ہے بام و در میں کون ہے

امین راحت چغتائی

تیرگی ہی تیرگی ہے بام و در میں کون ہے

کچھ دکھائی دے تو بتلائیں نظر میں کون ہے

کیوں جلاتا ہے مجھے وہ آتش احساس سے

میں کہاں ہوں یہ مرے دیوار و در میں کون ہے

ذات کے پردے سے باہر آ کے بھی تنہا رہوں

میں اگر ہوں اجنبی تو میرے گھر میں کون ہے

چاک کیوں ہوتے ہیں پیراہن گلوں کے کچھ کہو

جھک کے لہراتا ہوا شاخ ثمر میں کون ہے

جیسے کوئی پا گیا ہو اپنی منزل کا سراغ

دھوپ میں بیٹھا ہوا راہ سفر میں کون ہے

کانپتا جا دیکھ کر اظہار کی تجسیم کو

سوچتا جا آرزوئے شیشہ گر میں کون ہے

بس ذرا بپھری ہوئی موجوں کی خو مائل رہی

اہل ساحل جانتے تو تھے بھنور میں کون ہے

شور کرتا پھر رہا ہوں خشک پتوں کی طرح

کوئی تو پوچھے کہ شہر بے خبر میں کون ہے

میں تو دیوانہ ہوں اک سنگ ملامت ہی سہی

لیکن اتنا سوچ لو شیشے کے گھر میں کون ہے

امین راحت چغتائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai

Ameen Rahat Chugtai

tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai
kuchh dikhai de to batlaen nazar mein kaun hai

kyun jalata hai mujhe wo aatish-e-ehsas se
main kahan hun ye mere diwar-o-dar mein kaun hai

zat ke parde se bahar aa ke bhi tanha rahun
main agar hun ajnabi to mere ghar mein kaun hai

chaak kyun hote hain pairahan gulon ke kuchh kaho
jhuk ke lahraata hua shaKH-e-samar mein kaun hai

jaise koi pa gaya ho apni manzil ka suragh
dhup mein baiTha hua rah-e-safar mein kaun hai

kanpta ja dekh kar izhaar ki tajsim ko
sochta ja aarzu-e-shisha-gar mein kaun hai

bas zara biphri hui maujon ki KHu mail rahi
ahl-e-sahil jaante to the bhanwar mein kaun hai

shor karta phir raha hun KHushk patton ki tarah
koi to puchhe ki shahr-e-be-KHabar mein kaun hai

main to diwana hun ek sang-e-malamat hi sahi
lekin itna soch lo shishe ke ghar mein kaun hai

(917) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai written by Ameen Rahat Chugtai at UrduPoint. Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai is one of the masterpieces written by Ameen Rahat Chugtai. You can also find the complete poetry collection of Ameen Rahat Chugtai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameen Rahat Chugtai' above.

Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.