KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai, Urdu Ghazal By Amit Ahad

KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amit Ahad. KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا کی کون سی ہے راہ بہتر جانتا ہے

امت احد

خدا کی کون سی ہے راہ بہتر جانتا ہے

مزہ ہے نیکیوں میں کیا قلندر جانتا ہے

بہت ہمدرد ہیں میرے مگر انجان ہیں سب

مرے زخموں کی حالت کو رفوگر جانتا ہے

کسی سے میں نہیں کہتا مگر میری غریبی

مری دیواروں کا اکھڑا پلستر جانتا ہے

کبھی مندر کبھی مسجد پہ ہے اس کا بسیرا

دھرم انسانیت کا بس کبوتر جانتا ہے

صنم تیری جدائی میں کٹا ہے وقت مشکل

گنے دن ہجر میں کتنے کلنڈر جانتا ہے

کہیں بھر پیٹ روٹی تو کہیں سے ہاتھ خالی

کسی کی کیسی ہے نیت گداگر جانتا ہے

میں پیاسا رہ کے بھی منت نہیں کرتا کسی کی

بہت خوددار ہوں میں یہ سمندر جانتا ہے

کسی بھی وقت یہ مظلوم کر دیں گے بغاوت

ستم کی ہو چکی ہے حد ستم گر جانتا ہے

رہیں ارتھی سے باہر ہاتھ اس کا قول ہے یہ

نہ کچھ بھی ساتھ جائے گا سکندر جانتا ہے

تمہاری یاد میں راتیں کٹی ہیں مشکلوں سے

رہا ہوں کتنا میں بے چین بستر جانتا ہے

نہ ہوگا دوسرا پیدا جہاں میں کوئی گاندھی

بہت اچھی طرح سے پوربندر جانتا ہے

یہاں ہے بھیڑ میں بھی کس قدر ہر شخص تنہا

تمہارے شہر کا ہر ایک منظر جانتا ہے

احدؔ جینے کو تو سب جی رہے ہیں اس جہاں میں

مگر اس زیست کا مطلب سخنور جانتا ہے

امت احد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai

Amit Ahad

KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai
maza hai nekiyon mein kya qalandar jaanta hai

bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab
mere zaKHmon ki haalat ko rafugar jaanta hai

kisi se main nahin kahta magar meri gharibi
meri diwaron ka ukhDa plastar jaanta hai

kabhi mandir kabhi masjid pe hai is ka basera
dharam insaniyat ka bas kabutar jaanta hai

sanam teri judai mein kaTa hai waqt mushkil
gine din hijr mein kitne calendar jaanta hai

kahin bhar peT roTi to kahin se hath KHali
kisi ki kaisi hai niyyat gadagar jaanta hai

main pyasa rah ke bhi minnat nahin karta kisi ki
bahut KHuddar hun main ye samundar jaanta hai

kisi bhi waqt ye mazlum kar denge baghawat
sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaanta hai

rahen arthi se bahar hath us ka qaul hai ye
na kuchh bhi sath jaega sikandar jaanta hai

tumhaari yaad mein raaten kaTi hain mushkilon se
raha hun kitna main bechain bistar jaanta hai

na hoga dusra paida jahan mein koi gandhi
bahut achchhi tarah se porbandar jaanta hai

yahan hai bhiD mein bhi kis qadar har shaKHs tanha
tumhaare shahr ka har ek manzar jaanta hai

'ahad' jine ko to sab ji rahe hain is jahan mein
magar is zist ka matlab suKHnawar jaanta hai

(669) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai written by Amit Ahad at UrduPoint. KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai is one of the masterpieces written by Amit Ahad. You can also find the complete poetry collection of Amit Ahad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amit Ahad' above.

KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.