Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin, Urdu Ghazal By Amjad Ali Ghaznawi

Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amjad Ali Ghaznawi. Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ دل جو درد محبت سے بے قرار نہیں

امجد علی غزنوی

یہ دل جو درد محبت سے بے قرار نہیں

وہ صبح شوق نہیں شام انتظار نہیں

کسی نگاہ میں مستی نہیں خمار نہیں

یہ کوئی اور ہیں ساقی یہ بادہ خوار نہیں

تمہاری شاخ نشیمن میں برگ و بار نہیں

بہار میں بھی تمہارے لئے بہار نہیں

گلوں کی غنچوں کی پژمردگی سے ظاہر ہے

چمن میں آج بھی حالات سازگار نہیں

روش روش پہ یہ کانٹے تو خیر کانٹے ہیں

یہاں تو لالہ و گل کا بھی اعتبار نہیں

رہ خرد میں بہ ہر گام لاکھ کانٹے ہیں

جنوں کی راہ میں حائل یہ خار زار نہیں

تمہارا دست جنوں کیا ابھی نہیں اٹھا

تعینات کے پردے جو تار تار نہیں

عجیب حال ہے اس گلستان ہستی کا

کبھی بہار ہے اس میں کبھی بہار نہیں

وہ دوسروں کے لئے کیا بنیں گے چشمۂ فیض

جو آپ اپنے گناہوں پہ شرمسار نہیں

یہ سنگ و خشت جو ہوں معتبر تو ہوں لیکن

اس آدمی کا بہر حال اعتبار نہیں

یہ آج کل کی بہاریں بھی روح فرسا ہیں

وہیں سکوں ہے بظاہر جہاں بہار نہیں

اٹھا کے جام و سبو خود انڈیل لیتے ہیں

ہماری بزم میں ساقی کا انتظار نہیں

یہ دیکھتے ہو جو امجدؔ کو میکدہ بر دوش

وہ مے فروش ہے مے نوش و مےگسار نہیں

امجد علی غزنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin

Amjad Ali Ghaznawi

ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qarar nahin
wo subh-e-shauq nahin sham-e-intizar nahin

kisi nigah mein masti nahin KHumar nahin
ye koi aur hain saqi ye baada-KHwar nahin

tumhaari shaKH-e-nasheman mein barg-o-bar nahin
bahaar mein bhi tumhaare liye bahaar nahin

gulon ki ghunchon ki pazhmurdagi se zahir hai
chaman mein aaj bhi haalat sazgar nahin

rawish rawish pe ye kanTe to KHair kanTe hain
yahan to lala-o-gul ka bhi eatibar nahin

rah-e-KHirad mein ba-har-gam lakh kanTe hain
junun ki rah mein hail ye KHar-zar nahin

tumhaara dast-e-junun kya abhi nahin uTTha
tayyunat ke parde jo tar tar nahin

ajib haal hai is gulitan-e-hasti ka
kabhi bahaar hai is mein kabhi bahaar nahin

wo dusron ke liye kya banenge chashma-e-faiz
jo aap apne gunahon pe sharmsar nahin

ye sang-o-KHisht jo hon mo'atabar to hon lekin
is aadmi ka bahar-haal eatibar nahin

ye aaj-kal ki bahaaren bhi ruh-farsa hain
wahin sukun hai ba-zahir jahan bahaar nahin

uTha ke jam-o-subu KHud unDel lete hain
hamari bazm mein saqi ka intizar nahin

ye dekhte ho jo 'amjad' ko mai-kada-bar-dosh
wo mai-farosh hai mai-nosh-o-mai-gusar nahin

(574) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin written by Amjad Ali Ghaznawi at UrduPoint. Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin is one of the masterpieces written by Amjad Ali Ghaznawi. You can also find the complete poetry collection of Amjad Ali Ghaznawi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amjad Ali Ghaznawi' above.

Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Dil Jo Dard-e-mohabbat Se Be-qarar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.