Karwan-e-hayat, Urdu Nazam By Amjad Najmi

Karwan-e-hayat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Amjad Najmi. Karwan-e-hayat comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Karwan-e-hayat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کاروان حیات

امجد نجمی

یہ کون کہتا ہے انساں کا کاروان حیات

پلٹ کے آنے کو ہے بے گناہی کی جانب

وہی گناہ وہی معصیت وہی بدبو

وہی ہے درد وہی کروٹیں وہی پہلو

وہی فساد وہی شر ہی تمرد ہے

دماغ و دل پہ مسلط وہی تشدد ہے

یہ کون کہتا ہے انساں کا کاروان حیات

پلٹ کے آنے کو ہے بے گناہی کی جانب

میں دیکھتا ہوں کہ انساں کا کاروان حیات

اجالا چھوڑ چلا ہے سیاہی کی جانب

سیاہی جیسے سمندر کی تھاہ میں پنہاں

سیاہی جیسے خم دود آہ میں پنہاں

سیاہی جیسے گھٹا ٹوپ رات سے ظاہر

سیاہی جیسے منافق کی بات سے ظاہر

میں دیکھتا ہوں کہ انساں کا کاروان حیات

اجالا چھوڑ چلا ہے سیاہی کی جانب

میں جانتا ہوں کہ انساں کا کاروان حیات

رواں دواں تو ہے لیکن تباہی کی جانب

تباہی جس میں جہنم کا غار پوشیدہ

تباہی جس میں ہے ہر فرد زہر نوشیدہ

تباہی جس میں ہے ہر گھات گھات میں جموت

تباہی جس میں نہاں موت کا جمود و سکوت

میں جانتا ہوں کہ انساں کا کاروان حیات

رواں دواں تو ہے لیکن تباہی کی جانب

امجد نجمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karwan-e-hayat

Amjad Najmi

ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat
palaT ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib

wahi gunah wahi masiyat wahi badbu
wahi hai dard wahi karwaTen wahi pahlu
wahi fasad wahi shar hi tamarrud hai
dimagh-o-dil pe musallat wahi tashaddud hai

ye kaun kahta hai insan ka karwan-e-hayat
palaT ke aane ko hai be-gunahi ki jaanib
main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat
ujala chhoD chala hai siyahi ki jaanib

siyahi jaise samundar ki thah mein pinhan
siyahi jaise KHam-e-dud-e-ah mein pinhan
siyahi jaise ghaTa-Top raat se zahir
siyahi jaise munafiq ki baat se zahir

main dekhta hun ki insan ka karwan-e-hayat
ujala chhoD chala hai siyahi ki jaanib
main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat
rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib

tabahi jis mein jahannam ka ghaar poshida
tabahi jis mein hai har fard zahar-noshida
tabahi jis mein hai har ghat ghat mein jumut
tabahi jis mein nihan maut ka jumud-o-sukut

main jaanta hun ki insan ka karwan-e-hayat
rawan-dawan to hai lekin tabahi ki jaanib

(639) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karwan-e-hayat written by Amjad Najmi at UrduPoint. Karwan-e-hayat is one of the masterpieces written by Amjad Najmi. You can also find the complete poetry collection of Amjad Najmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amjad Najmi' above.

Karwan-e-hayat is a widely read Urdu Nazam. If you like Karwan-e-hayat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.